tum aur main
hayāt-o-maut tumhīñ se hai merī vābasta
kisī ke ishq-o-mohabbat ke aasrā tum ho
ġharīq-e-sail-e-mohabbat mujhe kiyā jis ne
safīna-e-dil-e-muztar ke nāḳhudā tum ho
nigah ko da.avat-e-nazzāra de ke chhup jaanā
sharīk-e-barq kī ik sharmgīñ adā tum ho
marīz-e-ishq ke sad-chāk qalb-e-bismil kī
umīd-o-bīm meñ Duubī huī duā maiñ huuñ
luTā ke rāh-e-mohabbat meñ kārvān-e-hayāt
har ek rahrav-e-manzil kī rahnumā maiñ huuñ
fazā-e-yās kī tārīkiyoñ meñ āvāra
sitam-rasīda kī ik āh-e-nā-rasā maiñ huuñ
hayat-o-maut tumhin se hai meri wabasta
kisi ke ishq-o-mohabbat ke aasra tum ho
ghariq-e-sail-e-mohabbat mujhe kiya jis ne
safina-e-dil-e-muztar ke naKHuda tum ho
nigah ko dawat-e-nazzara de ke chhup jaana
sharik-e-barq ki ek sharmgin ada tum ho
mariz-e-ishq ke sad-chaak qalb-e-bismil ki
umid-o-bim mein Dubi hui dua main hun
luTa ke rah-e-mohabbat mein karwan-e-hayat
har ek rahraw-e-manzil ki rahnuma main hun
faza-e-yas ki tarikiyon mein aawara
sitam-rasida ki ek aah-e-na-rasa main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.