tum bilkul hum jaise nikle
Interesting Fact
Fehmida Riaz's famous poem was recited in the Indian Parliament. This poem largely lays open the orthodoxy that prevails in both countries.
tum bilkul ham jaise nikle
ab tak kahāñ chhupe the bhaa.ī
vo mūrakhtā vo ghāmaḌ-pan
jis meñ ham ne sadī gañvā.ī
āḳhir pahuñchī dvaar tuhāre
are badhā.ī bahut badhā.ī
priit dharm kā naach rahā hai
qaa.em hindū raaj karoge
saare ulTe kaaj karoge
apnā chaman tārāj karoge
tum bhī baiThe karoge sochā
puurī hai vaisī tayyārī
kaun hai hindū kaun nahīñ hai
tum bhī karoge fatvā jaarī
hogā kaThin yahāñ bhī jiinā
dāñtoñ aa jā.egā pasīnā
jaisī-taisī kaTā karegī
yahāñ bhī sab kī saañs ghuTegī
bhaaḌ meñ jaa.e shikshā-vikshā
ab jāhil-pan ke gun gaanā
aage gaḌhā hai ye mat dekho
vāpas laao gayā zamāna
mashq karo tum aa jā.egā
ulTe paañv chalte jaanā
dhyān na duujā man meñ aa.e
bas pīchhe hī nazar jamānā
ek jaap sā karte jaao
bāram-bār yahī doharāo
kaisā viir mahān thā bhārat
kitnā ālī-shān thā bhārat
phir tum log pahuñch jāoge
bas parlok pahuñch jāoge
ham to haiñ pahle se vahāñ par
tum bhī samay nikālte rahnā
ab jis nark meñ jaao vahāñ se
chiTThī-viTThī Dālte rahnā
tum bilkul hum jaise nikle
ab tak kahan chhupe the bhai
wo murakhta wo ghamaD-pan
jis mein hum ne sadi ganwai
aaKHir pahunchi dwar tuhaare
are badhai bahut badhai
prit dharm ka nach raha hai
qaem hindu raj karoge
sare ulTe kaj karoge
apna chaman taraj karoge
tum bhi baiThe karoge socha
puri hai waisi tayyari
kaun hai hindu kaun nahin hai
tum bhi karoge fatwa jari
hoga kaThin yahan bhi jina
danton aa jaega pasina
jaisi-taisi kaTa karegi
yahan bhi sab ki sans ghuTegi
bhaD mein jae shiksha-wiksha
ab jahil-pan ke gun gana
aage gaDha hai ye mat dekho
wapas lao gaya zamana
mashq karo tum aa jaega
ulTe panw chalte jaana
dhyan na duja man mein aae
bas pichhe hi nazar jamana
ek jap sa karte jao
baram-bar yahi doharao
kaisa wir mahan tha bhaarat
kitna aali-shan tha bhaarat
phir tum log pahunch jaoge
bas parlok pahunch jaoge
hum to hain pahle se wahan par
tum bhi samay nikalte rahna
ab jis nark mein jao wahan se
chiTThi-wiTThi Dalte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.