tum hi kaho kya karna hai
jab dukh kī nadiyā meñ ham ne
jīvan kī naav Daalī thī
thā kitnā kas-bal bāñhoñ meñ
lohū meñ kitnī laalī thī
yuuñ lagtā thā do haath lage
aur naav pūram paar lagī
aisā na huaa, har dhāre meñ
kuchh an-dekhī mañjdhāreñ thiiñ
kuchh māñjhī the anjān bahut
kuchh be-parkhī parvāreñ thiiñ
ab jo bhī chāho chhān karo
ab jitne chāho dosh dharo
nadiyā to vahī hai, naav vahī
ab tum hī kaho kyā karnā hai
ab kaise paar utarnā hai
jab apnī chhātī meñ ham ne
is des ke ghaav dekhe the
thā vedoñ par vishvāsh bahut
aur yaad bahut se nusḳhe the
yuuñ lagtā thā bas kuchh din meñ
saarī biptā kaT jā.egī
aur sab ghaav bhar jā.eñge
aisā na huā ki rog apne
kuchh itne Dher purāne the
ved in kī Toh ko pā na sake
aur ToTke sab be-kār ga.e
ab jo bhī chāho chhān karo
ab jitne chāho dosh dharo
chhātī to vahī hai, ghaav vahī
ab tum hī kaho kyā karnā hai
ye ghaav kaise bharnā hai
You Tell Us What to Do
jab dukh ki nadiya mein hum ne
jiwan ki naw Dali thi
tha kitna kas-bal banhon mein
lohu mein kitni lali thi
yun lagta tha do hath lage
aur naw puram par lagi
aisa na hua, har dhaare mein
kuchh an-dekhi manjdhaaren thin
kuchh manjhi the anjaan bahut
kuchh be-parkhi parwaren thin
ab jo bhi chaho chhan karo
ab jitne chaho dosh dharo
nadiya to wahi hai, naw wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
ab kaise par utarna hai
jab apni chhati mein hum ne
is des ke ghaw dekhe the
tha wedon par wishwash bahut
aur yaad bahut se nusKHe the
yun lagta tha bas kuchh din mein
sari bipta kaT jaegi
aur sab ghaw bhar jaenge
aisa na hua ki rog apne
kuchh itne Dher purane the
wed in ki Toh ko pa na sake
aur ToTke sab be-kar gae
ab jo bhi chaho chhan karo
ab jitne chaho dosh dharo
chhati to wahi hai, ghaw wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
ye ghaw kaise bharna hai
You Tell Us What to Do
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 691)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.