tum
is shaam
tumhārī āñkhoñ meñ jaltī
havas kī lau
mujhe
vaqt kī shāhrāh par
bahut duur le aa.ī
jahāñ tum ne mamnūa phal khā kar
ḳhudā kī hukm-udūlī kī thī
is aziim gunāh meñ thā
tumhāre apne vajūd kā ehsās
aur thā
us lau se damakte badan meñ
mere insān hone kā
aks
is sham
tumhaari aankhon mein jalti
hawas ki lau
mujhe
waqt ki shahrah par
bahut dur le aai
jahan tum ne mamnua phal kha kar
KHuda ki hukm-uduli ki thi
is azim gunah mein tha
tumhaare apne wajud ka ehsas
aur tha
us lau se damakte badan mein
mere insan hone ka
aks
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.