tum ja chuki ho
merā dil der tak so.e hue muñh kī baas thā
jahāñ tum ḳhud-rav phuul ban kar khil uThī thiiñ
tumhārā munavvar vajūd
merī tārīk ruuh meñ sarmā kī dhuup banā
tumhārī āñkhoñ kī namī se ka.ī bahāroñ ne ḳhumār piyā
jūtoñ se girī miTTī se bane mere haath
tumhārī tarāshīda golā.iyoñ se mil kar
jannat kī jhiil ban ga.e
tumhāre siine se phūTtī ābshār kī mausīqī ne
merī zaḳhmī samā.at ko surīlā giit banā diyā
mere banjar taḳhayyul meñ jahāñ jahāñ tumhāre qadam lage
vahāñ maiñ na.ī duniyā ban kar taḳhlīq huā
ab tum jā chukī ho
mere āñsuoñ kī nadī
ek Tahnī ko bhī shajar nahīñ kar sakī
mere irādoñ kī shabnam
ek koñpal ko bhī phuul nahīñ kar sakī
samjhaute kā bheḌiyā
mere zarre zarre se tumheñ noch rahā hai
aur udāsī Dūbte sūraj kī āḳhirī kiran ban kar
mere kandhoñ par añdhere kī chādar Daal rahī hai
mera dil der tak soe hue munh ki bas tha
jahan tum KHud-raw phul ban kar khil uThi thin
tumhaara munawwar wajud
meri tarik ruh mein sarma ki dhup bana
tumhaari aankhon ki nami se kai bahaaron ne KHumar piya
juton se giri miTTi se bane mere hath
tumhaari tarashida golaiyon se mil kar
jannat ki jhil ban gae
tumhaare sine se phuTti aabshaar ki mausiqi ne
meri zaKHmi samaat ko surila git bana diya
mere banjar taKHayyul mein jahan jahan tumhaare qadam lage
wahan main nai duniya ban kar taKHliq hua
ab tum ja chuki ho
mere aansuon ki nadi
ek Tahni ko bhi shajar nahin kar saki
mere iradon ki shabnam
ek konpal ko bhi phul nahin kar saki
samjhaute ka bheDiya
mere zarre zarre se tumhein noch raha hai
aur udasi Dubte suraj ki aaKHiri kiran ban kar
mere kandhon par andhere ki chadar Dal rahi hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 561)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.