tum kahan ho
merī niiñd ik parinda hai
jo gum ho gayā hai
tumhārī āñkhoñ meñ
tumhārī āñkheñ kahāñ haiñ
merā dil
bharā rahtā hai
us bādal kī tarah
jise talāsh hai tumhārī dhuup kī
tumhāre husn kā sūraj kahāñ hai
ik jañg jo maiñ huuñ
ghirā rahtā huuñ apne aap meñ
aur ek shahzādī
jise bulā rahā hai ye jañgal
ai shahzādī tum kahāñ ho
meri nind ek parinda hai
jo gum ho gaya hai
tumhaari aankhon mein
tumhaari aankhen kahan hain
mera dil
bhara rahta hai
us baadal ki tarah
jise talash hai tumhaari dhup ki
tumhaare husn ka suraj kahan hai
ek jang jo main hun
ghira rahta hun apne aap mein
aur ek shahzadi
jise bula raha hai ye jangal
ai shahzadi tum kahan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.