tum kahan ho
ham tab bhī chaar hī the
magar tiin zarā baḌe the
aur chauthā bahut hī chhoTā
is liye ham tiin gine ga.e
maañ ne kahā thā
ye aapas meñ laḌte bahut haiñ
baap ne garmiyoñ ke mausam meñ
ThanDe farsh par
nange badan hameñ bhī saath biThāyā
aur hañs kar kahā
chahār darvesh qissa kyā hai
us ne hamārī aap kī chhoTī chhoTī
be-ma.anī shikāyateñ sunīñ
hameñ ittifāq kī barkateñ batā.īñ
talqīn kī
aur ham duniyā meñ masrūf ho ga.e
tab tak tum hamāre saath rahe
phir ham duniyā meñ kho.e zarūr
magar markaz kī jānib lauTte bhī rahe
isī liye juḌe rahe
lekin na jaane kyoñ
tum ne makka ke saath
madīna bhī chhoḌ diyā
jab baḌā darvesh rāhi-e-mulk-e-adam huā
aur ham tīnoñ saroñ ko joḌe
hum tab bhi chaar hi the
magar tin zara baDe the
aur chautha bahut hi chhoTa
is liye hum tin gine gae
man ne kaha tha
ye aapas mein laDte bahut hain
bap ne garmiyon ke mausam mein
ThanDe farsh par
nange badan hamein bhi sath biThaya
aur hans kar kaha
chahaar darwesh qissa kya hai
us ne hamari aap ki chhoTi chhoTi
be-mani shikayaten sunin
hamein ittifaq ki barkaten batain
talqin ki
aur hum duniya mein masruf ho gae
tab tak tum hamare sath rahe
phir hum duniya mein khoe zarur
magar markaz ki jaanib lauTte bhi rahe
isi liye juDe rahe
lekin na jaane kyon
tum ne makka ke sath
madina bhi chhoD diya
jab baDa darwesh rahi-e-mulk-e-adam hua
aur hum tinon saron ko joDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.