tum kahan ho
maiñ tumhārī ruuh kī añgḌā.iyoñ se āshnā huuñ
maiñ tumhārī dhaḌkanoñ ke zer-o-bam pahchāntā huuñ
maiñ tumhārī añkhḌiyoñ meñ narm lahreñ jāgtī sī dekhtā huuñ
jaise jaadū jāgtā ho
tum amar ho to lachaktī Tahniyoñ kī māmtā ho
tum javānī ho tabassum ho mohabbat kī latā ho
maiñ tumheñ pahchāntā huuñ tum mirī pahlī ḳhatā ho
lahlahātī jhūmtī phulvāriyoñ kī tāzgī ho be-adā.ī kī adā ho
tez mañDlātī abābīloñ ke nanhe bāzuoñ kā hausla ho
phuul ho aur phuul ke anjām se nā-āshnā ho
Dāliyoñ par phūltī ho jhūltī ho dekhtī ho bhūltī ho
har na.e fānūs pe girtī huī parvāngī ho
aur ḳhud bhī raushnī ho
zindagī ho zindagī ke gird chakkar kāTtī ho
maiñ tumheñ pahchāntā huuñ tum mohabbat chāhtī ho
ḳhud ko dekho aur bharī duniyā ko dekho aur socho
aur socho tum kahāñ ho
main tumhaari ruh ki angDaiyon se aashna hun
main tumhaari dhaDkanon ke zer-o-bam pahchanta hun
main tumhaari ankhDiyon mein narm lahren jagti si dekhta hun
jaise jadu jagta ho
tum amar ho to lachakti Tahniyon ki mamta ho
tum jawani ho tabassum ho mohabbat ki lata ho
main tumhein pahchanta hun tum meri pahli KHata ho
lahlahati jhumti phulwariyon ki tazgi ho be-adai ki ada ho
tez manDlati ababilon ke nanhe bazuon ka hausla ho
phul ho aur phul ke anjam se na-ashna ho
Daliyon par phulti ho jhulti ho dekhti ho bhulti ho
har nae fanus pe girti hui parwangi ho
aur KHud bhi raushni ho
zindagi ho zindagi ke gird chakkar kaTti ho
main tumhein pahchanta hun tum mohabbat chahti ho
KHud ko dekho aur bhari duniya ko dekho aur socho
aur socho tum kahan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.