tum kaho to kahun
harf ke taar meñ jitne aañsū piro.e ga.e
dard un se fuzūñ thā
suno to kahūñ
tum kaho to kahūñ zarf kī dāstāñ
ketiyoñ ko gila bādaloñ se nahīñ sūrajoñ se bhī thā
bāzūoñ se bhī thā hal pakaḌne se pahle hī jo thak ga.e
kisht-e-zar-ḳhez par āb-e-namkīn jam sā gayā
raqs tham sā gayā
eḌiyāñ ghūmte ghūmte ruk ga.iiñ
ashk ruḳhsār kī ghāTiyoñ se girā munjamid ho gayā
rañg ḳhushbū banā to havā chal paḌī
ḳhvāb naata banā to khulī khiḌkiyoñ meñ salāḳheñ ugiiñ
haath zaḳhmī hue
kis ke kashkol se kitne sikke gire
hijr kaisā parinde kī āñkhoñ meñ thā
ghaav kaise pahāḌoñ ke siine pe the
aa.ina guñg thā
farsh par aks dham se girā
kirchiyāñ ho gayā
tum kaho to ginūñ
tum kaho to chunūñ
tum kaho to sunūñ in khule phuul kī dhaḌkaneñ
gum-shuda titliyoñ kī sadā
zard Tahnī ke hoñToñ pe rakkhī huī bad-duā
āsmānoñ kī dahlīz par pheñk duuñ
tum kaho to dikhā.ūñ tumheñ
ik tamāsha ki jo merī muTThī meñ hai
ek gardan ki jo ġham ke phande meñ hai
saañs chaltī bhī hai aur chaltī nahīñ
jaañ nikaltī nahīñ
harf ke tar mein jitne aansu piroe gae
dard un se fuzun tha
suno to kahun
tum kaho to kahun zarf ki dastan
ketiyon ko gila baadalon se nahin surajon se bhi tha
bazuon se bhi tha hal pakaDne se pahle hi jo thak gae
kisht-e-zar-KHez par aab-e-namkin jam sa gaya
raqs tham sa gaya
eDiyan ghumte ghumte ruk gain
ashk ruKHsar ki ghaTiyon se gira munjamid ho gaya
rang KHushbu bana to hawa chal paDi
KHwab nata bana to khuli khiDkiyon mein salaKHen ugin
hath zaKHmi hue
kis ke kashkol se kitne sikke gire
hijr kaisa parinde ki aankhon mein tha
ghaw kaise pahaDon ke sine pe the
aaina gung tha
farsh par aks dham se gira
kirchiyan ho gaya
tum kaho to ginun
tum kaho to chunun
tum kaho to sunun in khule phul ki dhaDkanen
gum-shuda titliyon ki sada
zard Tahni ke honTon pe rakkhi hui bad-dua
aasmanon ki dahliz par phenk dun
tum kaho to dikhaun tumhein
ek tamasha ki jo meri muTThi mein hai
ek gardan ki jo gham ke phande mein hai
sans chalti bhi hai aur chalti nahin
jaan nikalti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.