tum
shaguftagī kā latāfat kā shāhkār ho tum
faqat bahār nahīñ hāsil-e-bahār ho tum
jo ek phuul meñ hai qaid vo gulistāñ ho
jo ik kalī meñ hai pinhāñ vo lāla-zār ho tum
halāvatoñ kī tamannā, malāhatoñ kī murād
ġhurūr kaliyoñ kā phūloñ kā inkisār ho tum
jise tarañg meñ fitrat ne gungunāyā hai
vo bhairvīñ ho, vo dīpak ho vo malhār ho tum
tumhāre jism meñ ḳhvābīda haiñ hazāroñ raag
nigāh chheḌtī hai jis ko vo sitār ho tum
jise uThā na sakī justujū vo motī ho
jise na gūñdh sakī aarzū vo haar ho tum
jise na buujh sakā ishq vo pahelī ho
jise samajh na sakā pyaar bhī vo pyaar ho tum
ḳhudā kare kisī dāman meñ jazb ho na sakeñ
ye mere ashk-e-hasīñ jin se āshkār ho tum
shaguftagi ka latafat ka shahkar ho tum
faqat bahaar nahin hasil-e-bahaar ho tum
jo ek phul mein hai qaid wo gulistan ho
jo ek kali mein hai pinhan wo lala-zar ho tum
halawaton ki tamanna, malahaton ki murad
ghurur kaliyon ka phulon ka inkisar ho tum
jise tarang mein fitrat ne gungunaya hai
wo bhairwin ho, wo dipak ho wo malhaar ho tum
tumhaare jism mein KHwabida hain hazaron rag
nigah chheDti hai jis ko wo sitar ho tum
jise uTha na saki justuju wo moti ho
jise na gundh saki aarzu wo haar ho tum
jise na bujh saka ishq wo paheli ho
jise samajh na saka pyar bhi wo pyar ho tum
KHuda kare kisi daman mein jazb ho na saken
ye mere ashk-e-hasin jin se aashkar ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.