tum nahin aae the jab
tum nahīñ aa.e the jab tab bhī to maujūd the tum
aañkh meñ nuur kī aur dil meñ lahū kī sūrat
dard kī lau kī tarah pyaar kī ḳhushbū kī tarah
bevafā vādoñ kī dildārī kā andāz liye
tum nahīñ aa.e the jab tab bhī to tum aa.e the
raat ke siine meñ mahtāb ke ḳhanjar kī tarah
sub.h ke haath meñ ḳhurshīd ke sāġhar kī tarah
shāḳh-e-ḳhūñ-rañg-e-tamannā meñ gul-e-tar kī tarah
tum nahīñ aaoge jab tab bhī to tum aaoge
yaad kī tarah dhaḌakte hue dil kī sūrat
ġham ke paimāna-e-sar-shār ko chhalkāte hue
barg-hā-e-lab-o-ruḳhsār ko mahkāte hue
dil ke bujhte hue añgāre ko dahkāte hue
zulf-dar-zulf bikhar jā.egā phir raat kā rañg
shab-e-tanhā.ī meñ bhī lutf-e-mulāqāt kā rañg
roz lā.egī sabā kū-e-sabāhat se payām
roz gā.egī sahar tahniyat-e-jashn-e-firāq
aao aane kī kareñ bāteñ ki tum aa.e ho
ab tum aa.e ho to maiñ kaun sī shai nazr karo
ki mire paas ba-juz mehr o vafā kuchh bhī nahīñ
ek ḳhūñ-gashta tamannā ke sivā kuchh bhī nahīñ
tum nahin aae the jab tab bhi to maujud the tum
aankh mein nur ki aur dil mein lahu ki surat
dard ki lau ki tarah pyar ki KHushbu ki tarah
bewafa wadon ki dildari ka andaz liye
tum nahin aae the jab tab bhi to tum aae the
raat ke sine mein mahtab ke KHanjar ki tarah
subh ke hath mein KHurshid ke saghar ki tarah
shaKH-e-KHun-rang-e-tamanna mein gul-e-tar ki tarah
tum nahin aaoge jab tab bhi to tum aaoge
yaad ki tarah dhaDakte hue dil ki surat
gham ke paimana-e-sar-shaar ko chhalkate hue
barg-ha-e-lab-o-ruKHsar ko mahkate hue
dil ke bujhte hue angare ko dahkate hue
zulf-dar-zulf bikhar jaega phir raat ka rang
shab-e-tanhai mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang
roz laegi saba ku-e-sabahat se payam
roz gaegi sahar tahniyat-e-jashn-e-firaq
aao aane ki karen baaten ki tum aae ho
ab tum aae ho to main kaun si shai nazr karo
ki mere pas ba-juz mehr o wafa kuchh bhi nahin
ek KHun-gashta tamanna ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.