tumne likkha hai
tum ne likkhā hai mire ḳhat mujhe vāpas kar do
Dar ga.iiñ husn-e-dil-āvez kī rusvā.ī se
maiñ na kahtā thā ki tum mujh se mohabbat na karo
yuuñ na khelo mire jazbāt kī ra.anā.ī se
sab samajhte the hamesha mujhe jān-e-mahfil
ab mirā haal to pūchho mirī tanhā.ī se
tum na.ī bazm sajā logī tumhārā kyā hai
tumheñ DhūñDeñgī kahāñ merī sulagtī rāteñ
bhuul hī jāogī do chaar dinoñ meñ tum to
do dhaḌakte hue be-tāb diloñ kī bāteñ
maiñ kahāñ jā.ūñgā mahrūmī-e-dil ko le kar
phuuT kar ro.eñgī jis vaqt bharī barsāteñ
kaash kuchh pyaar kā anjām to sochā hotā
chhīn lī merī javānī se javānī tum ne
maiñ na kahtā thā ki tum mujh se mohabbat na karo
laakh samjhāyā magar ek na maanī tum ne
tum na maano to bhalā kaun kahe kaun sune
pyaar puujā hai parastish hai tijārat to nahīñ
sone chāñdī ke liye ishq ko Thukrā denā
khel ho saktā hai me.ayār-e-mohabbat to nahīñ
tum zar-o-sīm kī mīzān meñ tul saktī ho
pyaar biktā nahīñ chāhat kā koī mol nahīñ
is se pahle ki mire ishq par ilzām dharo
dekh lo husn kī fitrat meñ to kuchh jhol nahīñ
apne hī likkhe hue chand ḳhatoñ kī ḳhātir
mujh se ḳhā.if hī nahīñ ḳhud se bhī bezār ho tum
kashtī-e-husn kī TuuTī huī patvār ho tum
tum ho ḳhud apne hī ehsās kī Thukrā.ī huī
apne anjām se sahmī huī ghabrā.ī huī
kis liye aaj nazar aatī ho khoī khoī
khelne hī kī tamannā thī to mujh se kahtīñ
tumheñ bāzār se lā detā khilaunā koī
aaj kī baat nahīñ baat bahut der kī hai
maiñ ne samjhā thā mirī ruuh kī āvāz ho tum
nashsha-e-husn kī ik lahar ho machlī huī lahar
ik lajātā huā sharmātā huā raaz ho tum
tum ho vo raaz ki jis raaz ko har lamhe ne
sher-o-naġhma kī fazāoñ meñ sajā.e rakkhā
tum ho vo raaz ki jis raaz kī ra.anā.ī ko
maiñ ne ehsās ke siine se lagā.e rakkhā
vo lajātā huā sharmātā huā raaz jise
maiñ ne apnī bhī nigāhoñ se chhupā.e rakkhā
jī meñ aatā hai ki is raaz ko rusvā kar duuñ
kyuuñ na har naaz ko andāz ko rusvā kar duuñ
toḌ duuñ shoḳh khanakte hue gajroñ kā ġhurūr
mast pāzeb kī āvāz ko rusvā kar duuñ
jī meñ aatā hai ki maiñ bhī tumheñ badnām karūñ
tumheñ badnām karūñ aur sar-e-ām karo
āḳhir insān huuñ maiñ bhī koī patthar to nahīñ
maiñ bhī siine meñ dhaḌaktā huā dil rakhtā huuñ
mujh ko bhī pyaar se ḳhvāboñ se tumhārī hī tarah
mujh ko bhī apnī javāñ-sāl umañgeñ haiñ aziiz
merī fitrat ko bhī hai ashk-o-tabassum meñ tamīz
maiñ ne sochā hai ki maiñ bhī tumheñ badnām karūñ
lekin afsos ki ye mujh se nahīñ ho saktā
tum ne samjhā na mohabbat ke ishāroñ kā mizāj
tum ne dekhī na dhaḌakte hue jazboñ kī sarisht
mere vijdān ne taḳhlīq kiyā thā jis ko
tum ne ḳhud aap jalāyā hai vo ḳhvāboñ kā bahisht
tum ne jis tarah jalāyā hai rulāyā hai mujhe
aaj kyuuñ maiñ bhī usī tarah rulā.ūñ na tumheñ
dekh pā.eñgī na jis ruḳh ko tumhārī āñkheñ
aaj tasvīr kā vo ruḳh bhī dikhā.ūñ na tumheñ?
kaash tum ne kabhī sochā kabhī samjhā hotā
maiñ ne kyā kuchh na kiyā husn kī azmat ke liye
kaun se dukh na sahe kaun se ta.ane na sune
fikr o ehsās ke shādāb gulistānoñ se
tum ne kaliyāñ hī chunīñ maiñ ne to kāñTe bhī chune
maiñ hī begāna rahā apnī haqīqat se magar
tum ne hālāt ke unvān ko pahchān liyā
apne bahke hue jazbāt kī taskīñ ke liye
tum ne muñh-zor javānī kā kahā maan liyā
tum ne pur-josh rivāyāt kī rau meñ bah kar
kar diyā gardish-e-daurāñ ke havāle mujh ko
kaun ab chāñd sitāroñ meñ mujhe le jaa.e
kaun ab zehn kī zulmat se nikāle mujh ko
ishq aur husn ko badnām kare kyā ma.anī
ye to vo daaġh hai kirdār kī peshānī par
vaqt sadiyoñ jise ro.e to nahīñ dho saktā
kaun pūchhegā bhalā mujh se mire dil kī murād
kitnā gahrā hai mohabbat ke taqāzoñ kā tazād
maiñ to kahtā huuñ ki tum pyaar se jholī bhar do
tum ne likkhā hai mire ḳhat mujhe vāpas kar do
ab jo chāho vo karo rahm-o-karam ho ki sitam
ab nahīñ tarz-e-taġhāful kā mire ishq ko ġham
shauq se merī tamannāoñ kī barbādī ho
kuchh bhī ho tum mire ehsās kī shahzādī ho
tum ne likkha hai mere KHat mujhe wapas kar do
Dar gain husn-e-dil-awez ki ruswai se
main na kahta tha ki tum mujh se mohabbat na karo
yun na khelo mere jazbaat ki ranai se
sab samajhte the hamesha mujhe jaan-e-mahfil
ab mera haal to puchho meri tanhai se
tum nai bazm saja logi tumhaara kya hai
tumhein DhunDengi kahan meri sulagti raaten
bhul hi jaogi do chaar dinon mein tum to
do dhaDakte hue be-tab dilon ki baaten
main kahan jaunga mahrumi-e-dil ko le kar
phuT kar roengi jis waqt bhari barsaten
kash kuchh pyar ka anjam to socha hota
chhin li meri jawani se jawani tum ne
main na kahta tha ki tum mujh se mohabbat na karo
lakh samjhaya magar ek na mani tum ne
tum na mano to bhala kaun kahe kaun sune
pyar puja hai parastish hai tijarat to nahin
sone chandi ke liye ishq ko Thukra dena
khel ho sakta hai meayar-e-mohabbat to nahin
tum zar-o-sim ki mizan mein tul sakti ho
pyar bikta nahin chahat ka koi mol nahin
is se pahle ki mere ishq par ilzam dharo
dekh lo husn ki fitrat mein to kuchh jhol nahin
apne hi likkhe hue chand KHaton ki KHatir
mujh se KHaif hi nahin KHud se bhi bezar ho tum
kashti-e-husn ki TuTi hui patwar ho tum
tum ho KHud apne hi ehsas ki Thukrai hui
apne anjam se sahmi hui ghabrai hui
kis liye aaj nazar aati ho khoi khoi
khelne hi ki tamanna thi to mujh se kahtin
tumhein bazar se la deta khilauna koi
aaj ki baat nahin baat bahut der ki hai
main ne samjha tha meri ruh ki aawaz ho tum
nashsha-e-husn ki ek lahar ho machli hui lahar
ek lajata hua sharmata hua raaz ho tum
tum ho wo raaz ki jis raaz ko har lamhe ne
sher-o-naghma ki fazaon mein sajae rakkha
tum ho wo raaz ki jis raaz ki ranai ko
main ne ehsas ke sine se lagae rakkha
wo lajata hua sharmata hua raaz jise
main ne apni bhi nigahon se chhupae rakkha
ji mein aata hai ki is raaz ko ruswa kar dun
kyun na har naz ko andaz ko ruswa kar dun
toD dun shoKH khanakte hue gajron ka ghurur
mast pazeb ki aawaz ko ruswa kar dun
ji mein aata hai ki main bhi tumhein badnam karun
tumhein badnam karun aur sar-e-am karo
aaKHir insan hun main bhi koi patthar to nahin
main bhi sine mein dhaDakta hua dil rakhta hun
mujh ko bhi pyar se KHwabon se tumhaari hi tarah
mujh ko bhi apni jawan-sal umangen hain aziz
meri fitrat ko bhi hai ashk-o-tabassum mein tamiz
main ne socha hai ki main bhi tumhein badnam karun
lekin afsos ki ye mujh se nahin ho sakta
tum ne samjha na mohabbat ke ishaaron ka mizaj
tum ne dekhi na dhaDakte hue jazbon ki sarisht
mere wijdan ne taKHliq kiya tha jis ko
tum ne KHud aap jalaya hai wo KHwabon ka bahisht
tum ne jis tarah jalaya hai rulaya hai mujhe
aaj kyun main bhi usi tarah rulaun na tumhein
dekh paengi na jis ruKH ko tumhaari aankhen
aaj taswir ka wo ruKH bhi dikhaun na tumhein?
kash tum ne kabhi socha kabhi samjha hota
main ne kya kuchh na kiya husn ki azmat ke liye
kaun se dukh na sahe kaun se tane na sune
fikr o ehsas ke shadab gulistanon se
tum ne kaliyan hi chunin main ne to kanTe bhi chune
main hi begana raha apni haqiqat se magar
tum ne haalat ke unwan ko pahchan liya
apne bahke hue jazbaat ki taskin ke liye
tum ne munh-zor jawani ka kaha man liya
tum ne pur-josh riwayat ki rau mein bah kar
kar diya gardish-e-dauran ke hawale mujh ko
kaun ab chand sitaron mein mujhe le jae
kaun ab zehn ki zulmat se nikale mujh ko
ishq aur husn ko badnam kare kya mani
ye to wo dagh hai kirdar ki peshani par
waqt sadiyon jise roe to nahin dho sakta
kaun puchhega bhala mujh se mere dil ki murad
kitna gahra hai mohabbat ke taqazon ka tazad
main to kahta hun ki tum pyar se jholi bhar do
tum ne likkha hai mere KHat mujhe wapas kar do
ab jo chaho wo karo rahm-o-karam ho ki sitam
ab nahin tarz-e-taghaful ka mere ishq ko gham
shauq se meri tamannaon ki barbaadi ho
kuchh bhi ho tum mere ehsas ki shahzadi ho
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 40)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.