Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum se shikayat kya karun

Behzad Lakhnavi

tum se shikayat kya karun

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    hotā jo koī dūsrā

    kartā gila maiñ dard

    tum to ho dil mudda.ā

    tum se shikāyat kyā karūñ

    dekho hai bulbul nāla-zan

    kahtī hai ahvāl-e-chaman

    maiñ chup huuñ go huuñ pur-mehan

    tum se shikāyat kyā karūñ

    maanā ki maiñ behosh huuñ

    par hosh hai pur-josh huuñ

    ye soch kar ḳhāmosh huuñ

    tum se shikāyat kyā karūñ

    tum se to ulfat hai mujhe

    tum se to rāhat hai mujhe

    tum se to mohabbat hai mujhe

    tum se shikāyat kyā karūñ

    hota jo koi dusra

    karta gila main dard ka

    tum to ho dil ka muddaa

    tum se shikayat kya karun

    dekho hai bulbul nala-zan

    kahti hai ahwal-e-chaman

    main chup hun go hun pur-mehan

    tum se shikayat kya karun

    mana ki main behosh hun

    par hosh hai pur-josh hun

    ye soch kar KHamosh hun

    tum se shikayat kya karun

    tum se to ulfat hai mujhe

    tum se to rahat hai mujhe

    tum se to mohabbat hai mujhe

    tum se shikayat kya karun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now