tum aa.e aap hī
yā ki bulā.e ga.e
kuchh yaad nahīñ
ab jo Thahre ho mere zehn meñ
to
us kitāb ke muāfiq
jise bōk-shelf meñ sajāne se bhī Darā huuñ maiñ aksar
kisī aur kī nazar meñ chaḌh jaa.e
shāyad ye gavārā hī nahīñ
har harf jis kā yaad hai zabānī mujh ko
aur
har saf.ha kī ibārat meñ jis kī
paḌhā hai ḳhud ko ka.ī ka.ī baar maiñ ne
tum aae aap hi
ya ki bulae gae
kuchh yaad nahin
ab jo Thahre ho mere zehn mein
to
us kitab ke muafiq
jise book-shelf mein sajaane se bhi Dara hun main aksar
kisi aur ki nazar mein chaDh jae
shayad ye gawara hi nahin
har harf jis ka yaad hai zabani mujh ko
aur
har safha ki ibarat mein jis ki
paDha hai KHud ko kai kai bar main ne
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.