tum udas mat hona
gar kabhī koī lamha aisā zaḳhm de jaa.e
ki koī bhī marham is zaḳhm ko na bhar paa.e
tum udaas mat honā
mahv-e-yās mat honā
zindagī ke sab mausam ek se nahīñ hote
saare log ai hamdam ek se nahīñ hote
zindagī kī rāhoñ meñ hādse bhī aate haiñ
sānehe bhī aate haiñ
sānehoñ se kuchh baḌh kar vāqiye bhī aate haiñ
vaqt hī ke marham se zaḳhm bhar bhī jaate haiñ
din bure hoñ yā achchhe bas guzar hī jaate haiñ
vaqt ko guzarnā hai
zaḳhm ko bhī bharnā hai
dard ke chaḌhe dariyā
ko abhī utarnā hai
tum udaas mat honā
mahv-e-yās mat honā
gar kabhi koi lamha aisa zaKHm de jae
ki koi bhi marham is zaKHm ko na bhar pae
tum udas mat hona
mahw-e-yas mat hona
zindagi ke sab mausam ek se nahin hote
sare log ai hamdam ek se nahin hote
zindagi ki rahon mein hadse bhi aate hain
sanehe bhi aate hain
sanehon se kuchh baDh kar waqiye bhi aate hain
waqt hi ke marham se zaKHm bhar bhi jate hain
din bure hon ya achchhe bas guzar hi jate hain
waqt ko guzarna hai
zaKHm ko bhi bharna hai
dard ke chaDhe dariya
ko abhi utarna hai
tum udas mat hona
mahw-e-yas mat hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.