tum yahan dubke hue ho
maiñ ḳhalāoñ meñ phirā
pātāl meñ bhaTkā
samundar chhān maare
vus.at-e-sahrā ko muTThī meñ lapeTā
chāñd sūraj khoñd Daale
apnī gardan par liyā tāroñ kā ḳhuun
vaqt kī lākhoñ tanābeñ kaaT diiñ
āḳhirash
thak-hār kar
(jab tum na mil paa.e to)
aa leTā huuñ
is andhī guphā meñ
tum yahāñ dubke hue ho!
main KHalaon mein phira
patal mein bhaTka
samundar chhan mare
wusat-e-sahra ko muTThi mein lapeTa
chand suraj khond Dale
apni gardan par liya taron ka KHun
waqt ki lakhon tanaben kaT din
aaKHirash
thak-haar kar
(jab tum na mil pae to)
aa leTa hun
is andhi gupha mein
tum yahan dubke hue ho!
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 340)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.