tum
yaqīnan zamāne se mumtāz ho tum
gul-o-lāla ne tum se sīkhīñ adā.eñ
tumheñ dekh kar muskurā.eñ fazā.eñ
nasīm-o-sabā sab kī hamrāz ho tum
yaqīnan zamāne se mumtāz ho tum
ḳhudā ne tumheñ husn-o-ra.anā.ī baḳhshī
bahāroñ kī rangīñ dil-ārā.ī baḳhshī
dil-ārā.iyoñ kā hasīñ saaz ho tum
yaqīnan zamāne se mumtāz ho tum
bahar-gām hamdam ho tum ham-navā ho
mirī rif.atoñ meñ tumhī jā-ba-jā ho
tumhī merī monis ho dam-sāz ho tum
yaqīnan zamāne se mumtāz ho tum
musībat meñ bhī muskurātī rahī ho
mirī himmatoñ ko baḌhātī rahī ho
mirī kāmrānī kī ġhammāz ho tum
yaqīnan zamāne se mumtāz ho tum
tumheñ dekh kar ġhuncha-e-dil khile haiñ
tumhīñ se bahāroñ ke bhī silsile haiñ
chaman meñ tabassum kā āġhāz ho tum
yaqīnan zamāne se mumtāz ho tum
salāmat raheñ jab talak chāñd taare
salāmat raheñ nāz-o-ġhamza tumhāre
mohabbat kā chāhat kā e.ajāz ho tum
yaqīnan zamāne se mumtāz ho tum
yaqinan zamane se mumtaz ho tum
gul-o-lala ne tum se sikhin adaen
tumhein dekh kar muskuraen fazaen
nasim-o-saba sab ki hamraaz ho tum
yaqinan zamane se mumtaz ho tum
KHuda ne tumhein husn-o-ranai baKHshi
bahaaron ki rangin dil-arai baKHshi
dil-araiyon ka hasin saz ho tum
yaqinan zamane se mumtaz ho tum
bahar-gam hamdam ho tum ham-nawa ho
meri rifaton mein tumhi ja-ba-ja ho
tumhi meri monis ho dam-saz ho tum
yaqinan zamane se mumtaz ho tum
musibat mein bhi muskuraati rahi ho
meri himmaton ko baDhati rahi ho
meri kaamrani ki ghammaz ho tum
yaqinan zamane se mumtaz ho tum
tumhein dekh kar ghuncha-e-dil khile hain
tumhin se bahaaron ke bhi silsile hain
chaman mein tabassum ka aaghaz ho tum
yaqinan zamane se mumtaz ho tum
salamat rahen jab talak chand tare
salamat rahen naz-o-ghamza tumhaare
mohabbat ka chahat ka eajaz ho tum
yaqinan zamane se mumtaz ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.