tum ye kahte ho ab koi chaara nahin
tum ye kahte ho vo jañg ho bhī chukī!
jis meñ rakkhā nahīñ hai kisī ne qadam
koī utrā na maidāñ meñ dushman na ham
koī saf ban na pā.ī, na koī alam
muntashir dostoñ ko sadā de sakā
ajnabī dushmanoñ kā patā de sakā
tum ye kahte ho vo jañg ho bhī chukī!
jis meñ rakkhā nahīñ ham ne ab tak qadam
tum ye kahte ho ab koī chārā nahīñ
jism ḳhasta hai, hāthoñ meñ yaarā nahīñ
apne bas kā nahīñ bār-e-sañg-e-sitam
bār-e-sañg-e-sitam, bār-e-kohsār-e-ġham
jis ko chhū kar sabhī ik taraf ho ga.e
baat kī baat meñ zī-sharaf ho ga.e
dosto, kū-e-jānāñ kī nā-mehrbāñ
ḳhaak par apne raushan lahū kī bahār
ab na aa.egī kyaa? ab khulegā na kyā
us kaf-e-nāznīñ par koī lāla-zār?
is hazīñ ḳhāmushī meñ na lauTegā kyā
shor-e-āvāz-e-haq, nāra-e-gīr-o-dār
shauq kā imtihāñ jo huā so huā
jism-o-jāñ kā ziyāñ jo huā so huā
suud se peshtar hai ziyāñ aur bhī
dosto, mātam-e-jism-o-jāñ aur bhī
aur bhī talḳh-tar imtihāñ aur bhī
tum ye kahte ho wo jang ho bhi chuki!
jis mein rakkha nahin hai kisi ne qadam
koi utra na maidan mein dushman na hum
koi saf ban na pai, na koi alam
muntashir doston ko sada de saka
ajnabi dushmanon ka pata de saka
tum ye kahte ho wo jang ho bhi chuki!
jis mein rakkha nahin hum ne ab tak qadam
tum ye kahte ho ab koi chaara nahin
jism KHasta hai, hathon mein yara nahin
apne bas ka nahin bar-e-sang-e-sitam
bar-e-sang-e-sitam, bar-e-kohsar-e-gham
jis ko chhu kar sabhi ek taraf ho gae
baat ki baat mein zi-sharaf ho gae
dosto, ku-e-jaanan ki na-mehrban
KHak par apne raushan lahu ki bahaar
ab na aaegi kya? ab khulega na kya
us kaf-e-naznin par koi lala-zar?
is hazin KHamushi mein na lauTega kya
shor-e-awaz-e-haq, nara-e-gir-o-dar
shauq ka imtihan jo hua so hua
jism-o-jaan ka ziyan jo hua so hua
sud se peshtar hai ziyan aur bhi
dosto, matam-e-jism-o-jaan aur bhi
aur bhi talKH-tar imtihan aur bhi
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 330)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.