tumhaara kya hai
chāk-dar-chāk garebāñ hai tumhārā kyā hai
merī vahshat mirā dāmāñ hai tumhārā kyā hai
tum hī urdu ke gulistāñ meñ ḳhush-ilhān nahīñ
kisht-e-bañgāl gul-afshāñ hai tumhārā kyā hai
pā-figārān-e-junūñ ko na hidāyat denā
kū-ba-kū ḳhār-e-muġhīlāñ hai tumhārā kyā hai
tum ko aatā bhī hai kuchh apne qasīde ke sivā
koī urdu kā sanā-ḳhvāñ hai tumhārā kyā hai
ehtisāb apnā bhī lāzim hai huzūr-e-vālā
koī daanā hai ki nādāñ hai tumhārā kyā hai
naqd-e-bejā se yuuñ kirdār-kushī mat karnā
apnā allāh nigahbāñ hai tumhārā kyā hai
tum ko da.avā hai mahārat kā zabāñ-dānī meñ
koī ḳhush-fikr ġhazal-ḳhvāñ hai tumhārā kyā hai
tum ki subā.ī ta.assub ke añdheroñ ke ḳhatīb
mere kūche meñ charāġhāñ hai tumhārā kyā hai
bāñjh dhartī pe shagūfe nahīñ khilte 'afzal'
merā har zaḳhm numāyāñ hai tumhārā kyā hai
chaak-dar-chaak gareban hai tumhaara kya hai
meri wahshat mera daman hai tumhaara kya hai
tum hi urdu ke gulistan mein KHush-ilhan nahin
kisht-e-bangal gul-afshan hai tumhaara kya hai
pa-figaran-e-junun ko na hidayat dena
ku-ba-ku KHar-e-mughilan hai tumhaara kya hai
tum ko aata bhi hai kuchh apne qaside ke siwa
koi urdu ka sana-KHwan hai tumhaara kya hai
ehtisab apna bhi lazim hai huzur-e-wala
koi dana hai ki nadan hai tumhaara kya hai
naqd-e-beja se yun kirdar-kushi mat karna
apna allah nigahban hai tumhaara kya hai
tum ko dawa hai mahaarat ka zaban-dani mein
koi KHush-fikr ghazal-KHwan hai tumhaara kya hai
tum ki subai tassub ke andheron ke KHatib
mere kuche mein charaghan hai tumhaara kya hai
banjh dharti pe shagufe nahin khilte 'afzal'
mera har zaKHm numayan hai tumhaara kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.