tumhaara kya hai
tumhārā kyā hai ki tum hazāroñ diloñ kī dhaḌkan
tumhārā kyā hai
ki ik ishāre pe phuul kaliyāñ tumhāre qadmoñ meñ aa gire haiñ
na jaane kitnī hī sar-zamīnoñ ke tum falak ho
na jaane kitne hī tishna jismoñ kā chain ho tum
hamārā kyā hai
ki nā-rasā.ī kī dāstāñ kā bane haiñ unvāñ
hamārā kyā hai
ki umr saarī bitā.ī ham ne to vahshatoñ meñ
ki tum se vābasta ho ke ham ne jo dard paayā
vo dard chehre kī malgajī rut kā isti.āra banā huā hai
ye dard vo hai jo bāqī-māñda hayāt kā aasrā banā hai
ye dard vo hai jo aane vaalī kisī bhī saa.at meñ raushnī kā naqīb hogā
ki ham to vo haiñ
tumhārī yādoñ kī sho.alagī meñ jalā ke ḳhud ko
hai sabr karnā
andher-nagrī meñ jabr karnā
hai ab bhī baaqī
tumhaara kya hai ki tum hazaron dilon ki dhaDkan
tumhaara kya hai
ki ek ishaare pe phul kaliyan tumhaare qadmon mein aa gire hain
na jaane kitni hi sar-zaminon ke tum falak ho
na jaane kitne hi tishna jismon ka chain ho tum
hamara kya hai
ki na-rasai ki dastan ka bane hain unwan
hamara kya hai
ki umr sari bitai hum ne to wahshaton mein
ki tum se wabasta ho ke hum ne jo dard paya
wo dard chehre ki malgaji rut ka istiara bana hua hai
ye dard wo hai jo baqi-manda hayat ka aasra bana hai
ye dard wo hai jo aane wali kisi bhi saat mein raushni ka naqib hoga
ki hum to wo hain
tumhaari yaadon ki shoalagi mein jala ke KHud ko
hai sabr karna
andher-nagri mein jabr karna
hai ab bhi baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.