tumhaara shahr
tumhārā shahr tumhāre badan kī ḳhushbū se
mahak rahā thaa, har ik baam tum se raushan thā
havā tumhārī tarah har ravish pe chaltī thī
tumhāre hoñToñ se hañstī thiiñ narm-lab kaliyāñ
atā huī thī sahar ko tumhārī sīm-tanī
milī thī shaam o shafaq ko tumhārī gul-badanī
tumhārā naam tasavvur bhī thaa, taḳhayyul bhī
yaqīñ bhii, shauq bhii, ummīd bhii, tamannā bhī
sajī thī zulf-e-javāñ aarzū ke phūloñ se
umīd-vār the har samt āshiqoñ ke giroh
magar ye kyā hai ki har kūcha aaj vīrāñ hai
galī galī meñ haiñ faulād-pā siyah ifrīt
chaman chaman meñ saḌī laash kā ta.affun hai
havā.eñ garm haiñ bārūd kā añdherā hai
ḳhabar nahīñ ki yahāñ se kidhar ko jaanā hai
tumhārā shahr, tumhāre badan kī ḳhushbū ko
taras rahā hai, har ik baam tīra-e-sāmāñ hai
na raushnī hai, na nik.hat, na naġhma hai, na navā
har ik ravish pe havā chal rahī hai nauha-kunāñ
sahar kī gul-badanī hai lahū kā pairāhan
na shaam hai na sahar sirf ik siyāh kafan
tumhāre shahr kī uryāniyoñ ko Dhāñptā hai
ḳhabar nahīñ ki yahāñ se kidhar ko jaanā hai
vo ik julūs sā ik moḌ par nazar aayā
koī aziim janāza guzarne vaalā hai
havā meñ nāla-o-fariyād kī hai kaifiyat
har ek aañkh meñ āñsū, har ek hoñT pe aah
diloñ kā nauha-e-ġham siskiyoñ meñ Dhaltā hai
vo dard hai ki koī khul ke ro nahīñ saktā
magar janāza kahīñ bhī nazar nahīñ aatā
kafan-farosh bhī haiñ, gorkan bhī haiñ lekin
koī batā nahīñ saktā ki kis kī mayyat hai
koī batā nahīñ saktā kidhar gayā tābūt
koī batā nahīñ saktā kahāñ hai qabristān
chalo qarīb se dekheñ ye bad-nasīb haiñ kaun
clerk haiñ jo abhī daftaroñ se nikle haiñ
tamām ek sī shakleñ haiñ hindisoñ kī tarah
kisān haiñ jo abhī ketiyoñ se palTe haiñ
nikal ke aa.e haiñ mazdūr kār-ḳhānoñ se
aur un kī pusht pe afsurda kholiyoñ kī qatār
suroñ pe uḌte dhueñ ke siyāh-rañg alam
barhana bachchoñ ke rone kī dardnāk sadā
julūs-e-ġham hai janāza ba-dosh chaltā hai
magar janāza kidhar hai nazar nahīñ aatā
ḳhabar nahīñ ki yahāñ se kidhar ko jaanā hai
tumhaara shahr tumhaare badan ki KHushbu se
mahak raha tha, har ek baam tum se raushan tha
hawa tumhaari tarah har rawish pe chalti thi
tumhaare honTon se hansti thin narm-lab kaliyan
ata hui thi sahar ko tumhaari sim-tani
mili thi sham o shafaq ko tumhaari gul-badani
tumhaara nam tasawwur bhi tha, taKHayyul bhi
yaqin bhi, shauq bhi, ummid bhi, tamanna bhi
saji thi zulf-e-jawan aarzu ke phulon se
umid-war the har samt aashiqon ke giroh
magar ye kya hai ki har kucha aaj viran hai
gali gali mein hain faulad-pa siyah ifrit
chaman chaman mein saDi lash ka taffun hai
hawaen garm hain barud ka andhera hai
KHabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai
tumhaara shahr, tumhaare badan ki KHushbu ko
taras raha hai, har ek baam tira-e-saman hai
na raushni hai, na nikhat, na naghma hai, na nawa
har ek rawish pe hawa chal rahi hai nauha-kunan
sahar ki gul-badani hai lahu ka pairahan
na sham hai na sahar sirf ek siyah kafan
tumhaare shahr ki uryaniyon ko Dhanpta hai
KHabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai
wo ek julus sa ek moD par nazar aaya
koi azim janaza guzarne wala hai
hawa mein nala-o-fariyaad ki hai kaifiyat
har ek aankh mein aansu, har ek honT pe aah
dilon ka nauha-e-gham siskiyon mein Dhalta hai
wo dard hai ki koi khul ke ro nahin sakta
magar janaza kahin bhi nazar nahin aata
kafan-farosh bhi hain, gorkan bhi hain lekin
koi bata nahin sakta ki kis ki mayyat hai
koi bata nahin sakta kidhar gaya tabut
koi bata nahin sakta kahan hai qabristan
chalo qarib se dekhen ye bad-nasib hain kaun
clerk hain jo abhi daftaron se nikle hain
tamam ek si shaklen hain hindison ki tarah
kisan hain jo abhi ketiyon se palTe hain
nikal ke aae hain mazdur kar-KHanon se
aur un ki pusht pe afsurda kholiyon ki qatar
suron pe uDte dhuen ke siyah-rang alam
barhana bachchon ke rone ki dardnak sada
julus-e-gham hai janaza ba-dosh chalta hai
magar janaza kidhar hai nazar nahin aata
KHabar nahin ki yahan se kidhar ko jaana hai
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.