tumhaara shukriya
vo lamhe jab
vajūd meñ bārūd bhar jaatā hai
soch kahtī hai ki
har shai fanā ho saktī hai
mahz zabān se phisle lafz
andar ke ḳhālī-pan ko
musallat kar deñ
aisā ḳhālī-pan
qubūl karne meñ dushvārī hotī hai
tumhārā shukriya
darāñtī kī nok der tak
kachchī zamīn ko kuredtī rahī
aur us meñ se ḳhuun na niklā
tahoñ ke nīche fasleñ ugtī rahī hoñgī
kisī ko kyā ḳhabar hotī hai
be-ḳhabarī kī buniyād par
duniyā ābād hotī hai
aadmī ke sivā baaqī har shai
apnī mauzūīyat ke mārūz se
vāqif rahtī hai
tumhārā shukriya
hamāre is qusūr ke liye ki
māvarā kī pur-kaif fazā
mohabbat ke gird lipTī rahtī hai
aur pathrīlī zamīn kī kashish
hameñ dukh detī rahtī hai
tumhāre binā
tasavvur se rishta nahīñ juḌtā
dukh kī uñgliyāñ
hoñToñ par nahīñ bajtīñ
rāstoñ ke
TeḌhe aur sīdhe-pan meñ kho.e aadmī par
farāmosh ḳhabreñ ilqā hotī haiñ
tumhārā shukriya
ret ThanDī rahtī hai
yahāñ tak ki andar khīñch letī hai
aur zarrāt popcorn kī mānind
uchhal kuud karte haiñ
ek haath mohabbat bharā
bāloñ ko chhūtā hai
ye dhanak bharā jazba dhañsātā hai
apne bojh se
ḳhabroñ kī bārish se
mohabbat dukh aur dard kī
kah dene se
ye sab kah dene se
rāstoñ ke sīdhe aur TeḌhe-pan jaisā
ḳhālī-pan musallat hotā hai
is qusūr ke liye
ki ham use qubūl kar lete haiñ
wo lamhe jab
wajud mein barud bhar jata hai
soch kahti hai ki
har shai fana ho sakti hai
mahz zaban se phisle lafz
andar ke KHali-pan ko
musallat kar den
aisa KHali-pan
qubul karne mein dushwari hoti hai
tumhaara shukriya
daranti ki nok der tak
kachchi zamin ko kuredti rahi
aur us mein se KHun na nikla
tahon ke niche faslen ugti rahi hongi
kisi ko kya KHabar hoti hai
be-KHabari ki buniyaad par
duniya aabaad hoti hai
aadmi ke siwa baqi har shai
apni mauzuiyat ke maruz se
waqif rahti hai
tumhaara shukriya
hamare is qusur ke liye ki
mawara ki pur-kaif faza
mohabbat ke gird lipTi rahti hai
aur pathrili zamin ki kashish
hamein dukh deti rahti hai
tumhaare bina
tasawwur se rishta nahin juDta
dukh ki ungliyan
honTon par nahin bajtin
raston ke
TeDhe aur sidhe-pan mein khoe aadmi par
faramosh KHabren ilqa hoti hain
tumhaara shukriya
ret ThanDi rahti hai
yahan tak ki andar khinch leti hai
aur zarraat popcorn ki manind
uchhal kud karte hain
ek hath mohabbat bhara
baalon ko chhuta hai
ye dhanak bhara jazba dhansata hai
apne bojh se
KHabron ki barish se
mohabbat dukh aur dard ki
kah dene se
ye sab kah dene se
raston ke sidhe aur TeDhe-pan jaisa
KHali-pan musallat hota hai
is qusur ke liye
ki hum use qubul kar lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.