tumhaare ganw se jo rasta nikalta hai
tumhāre gaañv se jo rāsta nikaltā hai
maiñ baar baar usī rāste guzrā huuñ
har ek zarra yahāñ kā mirī nigāh meñ hai
tumhāre gaañv ke us rāste kā ek ik moḌ
khudā huā hai mire paañv kī lakīroñ meñ
har ek moḌ pe ruktā huā maiñ guzrā huuñ
kabhī sunand kī dukkāñ pe jā ke khāyā paan
kabhī bhare hue bāzār par nazar dauḌā.ī
kabhī sharīf ke hotel pe ruk ke pī lī chaa.e
mujhe sharīf se matlab na kuchh sunand se kaam
na us bhare hue bāzār se mujhe koī rabt
vo pūchheñ haal maiñ un se kahūñ ki achchhā huuñ
vo mujh se baḌhtī huī qīmatoñ kā zikr kareñ
maiñ un se shahr kī be-lutfiyoñ kī baat karūñ
guzārtā hai bas is tarah ek do lamhe
aur is ke ba.ad saḌak par qadam baḌhātā hai
tumhāre gaañv se jo rāsta nikaltā hai
maiñ baar baar usī rāste se guzrā huuñ
kabhī to kaam ke hiile se yā kabhī yūñhī
aur in dinoñ to koī kaam sūjhtā bhī nahīñ
vo daur biit gayā merā kaam ḳhatm huā
rahī na kaam se nisbat mujhe tumhāre ba.ad
par ik lagan jo kabhī thī tumhāre kūche se
usī lagan ke sahāre phir aa gayā huuñ yahāñ
abhī sharīf ke hotel pe aa ke baiThā huuñ
abhī sunand kī dukkāñ se paan khā.uñgā
zarā sī der yahāñ ruk ke kar hī lūñgā sair
phir apne vaqt pe raste pe baḌh hī jā.ūñgā
ye dekho baḌhne hī vaalī hai jaise gaañv kī shaam
ye jaise uThne hī vaalā hai gaañv kā bāzār
yahāñ se vaise hī bas maiñ bhī uThne vaalā huuñ
bisān-e-shām bas ab maiñ bhī baḌh hī jā.ūñgā
na koī mujh se ye pūchhegā kyuuñ maiñ aayā thā
na maiñ kisī se kahūñgā kahāñ maiñ jaatā huuñ
aur ek umar se is tarah jaane kitnī baar
tumhāre gaañv ke us rāste se guzrā huuñ
aur ab na jaane isī tarah aur kitnī baar
tumhāre gaañv us is rāste se guzrūñgā
tumhaare ganw se jo rasta nikalta hai
main bar bar usi raste guzra hun
har ek zarra yahan ka meri nigah mein hai
tumhaare ganw ke us raste ka ek ek moD
khuda hua hai mere panw ki lakiron mein
har ek moD pe rukta hua main guzra hun
kabhi sunand ki dukkan pe ja ke khaya pan
kabhi bhare hue bazar par nazar dauDai
kabhi sharif ke hotel pe ruk ke pi li chae
mujhe sharif se matlab na kuchh sunand se kaam
na us bhare hue bazar se mujhe koi rabt
wo puchhen haal main un se kahun ki achchha hun
wo mujh se baDhti hui qimaton ka zikr karen
main un se shahr ki be-lutfiyon ki baat karun
guzarta hai bas is tarah ek do lamhe
aur is ke baad saDak par qadam baDhata hai
tumhaare ganw se jo rasta nikalta hai
main bar bar usi raste se guzra hun
kabhi to kaam ke hile se ya kabhi yunhi
aur in dinon to koi kaam sujhta bhi nahin
wo daur bit gaya mera kaam KHatm hua
rahi na kaam se nisbat mujhe tumhaare baad
par ek lagan jo kabhi thi tumhaare kuche se
usi lagan ke sahaare phir aa gaya hun yahan
abhi sharif ke hotel pe aa ke baiTha hun
abhi sunand ki dukkan se pan khaunga
zara si der yahan ruk ke kar hi lunga sair
phir apne waqt pe raste pe baDh hi jaunga
ye dekho baDhne hi wali hai jaise ganw ki sham
ye jaise uThne hi wala hai ganw ka bazar
yahan se waise hi bas main bhi uThne wala hun
bisan-e-sham bas ab main bhi baDh hi jaunga
na koi mujh se ye puchhega kyun main aaya tha
na main kisi se kahunga kahan main jata hun
aur ek umar se is tarah jaane kitni bar
tumhaare ganw ke us raste se guzra hun
aur ab na jaane isi tarah aur kitni bar
tumhaare ganw us is raste se guzrunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.