tumhaare husn ke nam
Interesting Fact
This poem was a birthday gift from Faiz (in prison) to Alys, his wife. It came with specific instructions to Alys that whatever she is paid by the publishers of this poem, she must spend it on herself.
salām likhtā hai shā.er tumhāre husn ke naam
bikhar gayā jo kabhī rañg-e-pairahan sar-e-bām
nikhar ga.ī hai kabhī subah dopahar kabhī shaam
kahīñ jo qāmat-e-zebā pe saj ga.ī hai qabā
chaman meñ sarv-o-sanobar sañvar ga.e haiñ tamām
banī bisāt-e-ġhazal jab Dubo liye dil ne
tumhāre sāya-e-ruḳhsār-o-lab meñ sāġhar-o-jām
salām likhtā hai shā.er tumhāre husn ke naam
tumhāre haath pe hai tābish-e-hinā jab tak
jahāñ meñ baaqī hai dildāri-e-urūs-e-suḳhan
tumhārā husn javāñ hai to mehrbāñ hai falak
tumhārā dam hai to dam-sāz hai havā-e-vatan
agarche tañg haiñ auqāt saḳht haiñ ālām
tumhārī yaad se shīrīñ hai talḳhi-e-aiyyām
salām likhtā hai shā.er tumhāre husn ke naam
salam likhta hai shaer tumhaare husn ke nam
bikhar gaya jo kabhi rang-e-pairahan sar-e-baam
nikhar gai hai kabhi subah dopahar kabhi sham
kahin jo qamat-e-zeba pe saj gai hai qaba
chaman mein sarw-o-sanobar sanwar gae hain tamam
bani bisat-e-ghazal jab Dubo liye dil ne
tumhaare saya-e-ruKHsar-o-lab mein saghar-o-jam
salam likhta hai shaer tumhaare husn ke nam
tumhaare hath pe hai tabish-e-hina jab tak
jahan mein baqi hai dildari-e-urus-e-suKHan
tumhaara husn jawan hai to mehrban hai falak
tumhaara dam hai to dam-saz hai hawa-e-watan
agarche tang hain auqat saKHt hain aalam
tumhaari yaad se shirin hai talKHi-e-aiyyam
salam likhta hai shaer tumhaare husn ke nam
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.