tumhaare jaane ke baad
aksar
tumhāre jaane ke ba.ad
darīche khulte haiñ
band hote haiñ
shoḳh lahreñ
sar-kashī kartī haiñ kināroñ se
saañp ke keñchul kī tarah
samundar kī lahreñ
simaTtī haiñ sikuḌtī haiñ
aur
apnī hī gahrā.ī meñ Duub jaatī haiñ
kuchh lamhe
naad kī mānind
sat.h par ubhartī haiñ
aur ojhal ho jaatī haiñ
aksar
tumhaare jaane ke baad
dariche khulte hain
band hote hain
shoKH lahren
sar-kashi karti hain kinaron se
sanp ke kenchul ki tarah
samundar ki lahren
simaTti hain sikuDti hain
aur
apni hi gahrai mein Dub jati hain
kuchh lamhe
nad ki manind
sath par ubharti hain
aur ojhal ho jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.