tumhaare jaane ke baad
tumhāre jaane ke ba.ad
raat ke āḳhirī pahar
chāñd ne kahā
maiñ udaas huuñ
ek sitāre ne TūTte hue kahā
maiñ udaas huuñ
havā ne dīvāroñ se sar Takrāte hue kahā
maiñ udaas huuñ
bahār ne piile phūloñ meñ tabdīl hote hue kahā
maiñ udaas huuñ
shaam ne raat meñ Dhalte hue kahā
maiñ udaas huuñ
maiñ ne ūñchī āvāz meñ un sab se kahā
maiñ udaas nahīñ huuñ
aur ro paḌā
tumhaare jaane ke baad
raat ke aaKHiri pahar
chand ne kaha
main udas hun
ek sitare ne TuTte hue kaha
main udas hun
hawa ne diwaron se sar Takraate hue kaha
main udas hun
bahaar ne pile phulon mein tabdil hote hue kaha
main udas hun
sham ne raat mein Dhalte hue kaha
main udas hun
main ne unchi aawaz mein un sab se kaha
main udas nahin hun
aur ro paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.