tumhaare liye
tumhāre liye sambhāl kar rakkhā thā
zamīn kī kashish se bāhar ek āsmān
ek ghoḌe kī piiTh
aur ek saḌak jis par
dhuup chamkīlī
bārish albelī hotī hai
ek misrā likhā thā tumhāre liye
man kī miTTī meñ dabā kar rakhī thī
tumhāre naam kī koñpal
tumhāre liye bachā.ī thī
lahū kī laalī
ratjage
aqīdoñ kī shikastagī
aag kī lapTeñ ek haath meñ
ek meñ āb-e-pāk
ek aañkh sharmīlī
ek aañkh bebāk
kashtī ke taḳhte
aur shauq kā mavvāj dariyā
shahad duniyā ko baañT diyā
bachā kar rakhā apnā mom
tum us kī baatī hotīñ
ham jalte saarī raat
tum ne chunā
sone kā sindūr
chāñdī kī chañgīrī
palañg naqshīn
puḳhta chhat
pakkī dīvāreñ
pakkā ghaḌā
uthlā kuaañ
paanī jaisā Thahar ga.iiñ tum
havā ke jaisā bikhar gayā maiñ
tumhaare liye sambhaal kar rakkha tha
zamin ki kashish se bahar ek aasman
ek ghoDe ki piTh
aur ek saDak jis par
dhup chamkili
barish albeli hoti hai
ek misra likha tha tumhaare liye
man ki miTTi mein daba kar rakhi thi
tumhaare nam ki konpal
tumhaare liye bachai thi
lahu ki lali
ratjage
aqidon ki shikastagi
aag ki lapTen ek hath mein
ek mein aab-e-pak
ek aankh sharmili
ek aankh bebak
kashti ke taKHte
aur shauq ka mawwaj dariya
shahad duniya ko banT diya
bacha kar rakha apna mom
tum us ki baati hotin
hum jalte sari raat
tum ne chuna
sone ka sindur
chandi ki changiri
palang naqshin
puKHta chhat
pakki diwaren
pakka ghaDa
uthla kuan
pani jaisa Thahar gain tum
hawa ke jaisa bikhar gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.