tumhaari aankhen
tumhārī āñkheñ tum vahīñ to baste ho
ek jism ko duniyā ne tumhārā naam diyā
tumheñ paayā tumhārī āñkhoñ meñ hai maiñ ne
un do palkoñ ne chhuā hai mujhe
tumhārī uñgliyoñ ke jāduī sparsh sī
mere chehre kī narm gulābī galiyoñ meñ khoī
merī zulfoñ meñ uljhī huī resham se tar-ba-tar ye āñkheñ
kabhī hoñTh ban kar tumhārī sāñsoñ kī aahaT ko
chupke se mere kānoñ meñ rakh jaatī hai
tumhāre zehn meñ panap rahe har
nāzuk jazbāt kī ḳhushbū hai tumhārī āñkheñ
mere kāñpte hoñToñ pe tumhāre hoñToñ ke
nishān hai tumhārī āñkheñ
vahī to hai jo hatheliyāñ ban kar mazbūtī se
merā haath thāme hue hai ab tak
tumhāre dil sī dhaḌaktī hai tumhārī āñkheñ
mere ashkoñ kā har ek qatra
un kī namī meñ Duub kar ek ho jaatā hai
raat ke sannāTe meñ mazbūt bāheñ ban kar
apnī ThanDak meñ sulā detī hai
tumhāre qadam ban kar saath chalī hai jaise tum chalte
us ne luuTā nahīñ lauTāyā hai mujhe apne aap ko
in āñkhoñ meñ ek ghar basāyā hai maiñ ne
tumhāre jism meñ juḌī hai magar
merī hai tumhārī āñkheñ
tumhaari aankhen tum wahin to baste ho
ek jism ko duniya ne tumhaara nam diya
tumhein paya tumhaari aankhon mein hai main ne
un do palkon ne chhua hai mujhe
tumhaari ungliyon ke jadui sparsh si
mere chehre ki narm gulabi galiyon mein khoi
meri zulfon mein uljhi hui resham se tar-ba-tar ye aankhen
kabhi honTh ban kar tumhaari sanson ki aahaT ko
chupke se mere kanon mein rakh jati hai
tumhaare zehn mein panap rahe har
nazuk jazbaat ki KHushbu hai tumhaari aankhen
mere kanpte honTon pe tumhaare honTon ke
nishan hai tumhaari aankhen
wahi to hai jo hatheliyan ban kar mazbuti se
mera hath thame hue hai ab tak
tumhaare dil si dhaDakti hai tumhaari aankhen
mere ashkon ka har ek qatra
un ki nami mein Dub kar ek ho jata hai
raat ke sannaTe mein mazbut bahen ban kar
apni ThanDak mein sula deti hai
tumhaare qadam ban kar sath chali hai jaise tum chalte
us ne luTa nahin lauTaya hai mujhe apne aap ko
in aankhon mein ek ghar basaya hai main ne
tumhaare jism mein juDi hai magar
meri hai tumhaari aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.