tumhaari chup mera aaina hai
tumhārī chup mujhe har baar
jiine kī na.ī ik bad-gumānī sauñp detī hai
maiñ lafzoñ ke ḳhayāloñ ke
sunahrī surma.ī rañgīn nuqtoñ se
kahānī kā nayā ik moḌ likhtī huuñ
bikhartī zindagānī ko na.ī tartīb dene kī
bahut koshish maiñ kartī huuñ
magar tum tak rasā.ī kā
koī rasta nahīñ bantā
tum apnī chup ke sachche mast lamhoñ meñ
ḳhud apne-āp se
ik pal kī duurī par
khaḌe ho kar
mujhe jab dekhte ho to
maiñ ḳhud ko dekhne kī aarzū meñ
marne lagtī hūñ!!
tumhaari chup mujhe har bar
jine ki nai ek bad-gumani saunp deti hai
main lafzon ke KHayalon ke
sunahri surmai rangin nuqton se
kahani ka naya ek moD likhti hun
bikharti zindagani ko nai tartib dene ki
bahut koshish main karti hun
magar tum tak rasai ka
koi rasta nahin banta
tum apni chup ke sachche mast lamhon mein
KHud apne-ap se
ek pal ki duri par
khaDe ho kar
mujhe jab dekhte ho to
main KHud ko dekhne ki aarzu mein
marne lagti hun!!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 79)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.