tumhaari poron ka lams ab tak
maiñ zindagī kī kaḌī masāfat
tumhārī chāhat mile binā bhī mujhe yaqīñ hai ki kaaT lūñgā
maiñ aise logoñ ko jāntā huuñ
jinhoñ ne apnī tamām umreñ
sarāb-sāyoñ kī justujū meñ yahī samajh kar guzār dī haiñ
ki chāhatoñ ke ye ḳhvāb-lamhe
ye furqatoñ ke azāb-lamhe
kabhī baneñge gulāb-lamhe
ye log vo haiñ ki jin ke yādoñ ke canvas par
visāl-e-mausam kī ek mub.ham lakīr bhī to nahīñ banī hai
pa merī yādoñ ke haath meñ to
tumhārī poroñ kā lams ab tak gulāb ban kar mahak rahā hai
mujhe yaqīñ hai
ki jab bhī chāhūñ
tumhāre be-had hasīn hāthoñ ko thāmne kā har ek lamha
mire ḳhayāloñ ke dā.ere se nikal ke mujh ko
visāl-mausam kī ḳhushbuoñ meñ muhīt kar de
mujhe yaqīñ hai
maiñ zindagī kī ye sab masāfat
kaḌī masāfat
tumhārī yādoñ kī ḳhushbuoñ meñ bhī kaaT saktā huuñ kaaT lūñgā
main zindagi ki kaDi masafat
tumhaari chahat mile bina bhi mujhe yaqin hai ki kaT lunga
main aise logon ko jaanta hun
jinhon ne apni tamam umren
sarab-sayon ki justuju mein yahi samajh kar guzar di hain
ki chahaton ke ye KHwab-lamhe
ye furqaton ke azab-lamhe
kabhi banenge gulab-lamhe
ye log wo hain ki jin ke yaadon ke canwas par
visal-e-mausam ki ek mubham lakir bhi to nahin bani hai
pa meri yaadon ke hath mein to
tumhaari poron ka lams ab tak gulab ban kar mahak raha hai
mujhe yaqin hai
ki jab bhi chahun
tumhaare be-had hasin hathon ko thamne ka har ek lamha
mere KHayalon ke daere se nikal ke mujh ko
visal-mausam ki KHushbuon mein muhit kar de
mujhe yaqin hai
main zindagi ki ye sab masafat
kaDi masafat
tumhaari yaadon ki KHushbuon mein bhi kaT sakta hun kaT lunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.