tumhaari yaad ka mausam
tumheñ mālūm to hogā
sabhī mausam badalte haiñ
kabhī taptī do-pahreñ june kī
tan-man jalātīñ haiñ
kabhī yaḳh-basta rātoñ kā
december lauT aatā hai
kabhī patjhaḌ kā mausam ḳhuun piitā hai daraḳhtoñ kā
kabhī sūkhī huī shāḳhoñ pe kaliyāñ khilkhilātī haiñ
ḳhizāñ kā dam nikalte hī
bahāreñ muskurātī haiñ
tumheñ mālūm to hogā
sabhī mausam badalte haiñ
magar ye bhī haqīqat hai
hamāre dil ke āñgan meñ
kisī sūrat nahīñ badlā
tumhārī yaad kā mausam
tumhein malum to hoga
sabhi mausam badalte hain
kabhi tapti do-pahren june ki
tan-man jalatin hain
kabhi yaKH-basta raaton ka
december lauT aata hai
kabhi patjhaD ka mausam KHun pita hai daraKHton ka
kabhi sukhi hui shaKHon pe kaliyan khilkhilati hain
KHizan ka dam nikalte hi
bahaaren muskuraati hain
tumhein malum to hoga
sabhi mausam badalte hain
magar ye bhi haqiqat hai
hamare dil ke aangan mein
kisi surat nahin badla
tumhaari yaad ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.