tumhaari yaad
kahāñ hai niiñd āñkhoñ meñ
paTaktī sar udāsī hai
sitam kī ḳhaak se lipTī
thakan hai bad-havāsī hai
mire aañsū bhigote haiñ
mirā takiya mirā bistar
tumhāre ba.ad se ab tak
ye merā haal hai bad-tar
chale ye nabz bhī maddham
tavāzun meñ nahīñ dhaḌkan
lage ye saañs bhī bhārī
kī ab duniyā lage bandhan
nahīñ ho saath tum mere
mujhe har pal lage sadiyāñ
baḌī mushkil se kaTtī haiñ
udāsī se bharī ghaḌiyāñ
samajh meñ ye nahīñ aatā
hai jis se janmoñ kā naata
vo jab yuuñ chhoḌ jaatā hai
to kitnā yaad aatā hai
kahan hai nind aankhon mein
paTakti sar udasi hai
sitam ki KHak se lipTi
thakan hai bad-hawasi hai
mere aansu bhigote hain
mera takiya mera bistar
tumhaare baad se ab tak
ye mera haal hai bad-tar
chale ye nabz bhi maddham
tawazun mein nahin dhaDkan
lage ye sans bhi bhaari
ki ab duniya lage bandhan
nahin ho sath tum mere
mujhe har pal lage sadiyan
baDi mushkil se kaTti hain
udasi se bhari ghaDiyan
samajh mein ye nahin aata
hai jis se janmon ka nata
wo jab yun chhoD jata hai
to kitna yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.