tumhein ghussa aata hai
tumheñ
ġhussa aatā hai
merī bhūlne kī aadat par
maiñ tumhāre paas
nazmoñ kī kitāb bhuul jaatā huuñ
tum
use lauTā detī ho
maiñ apnī ainak
tumhāre paas bhuul jaatā huuñ
tum
use lauTā detī ho
maiñ apnā qalam tumhāre paas bhuul jaatā huuñ
tum
use lauTā detī ho
mujhe bhī
tumhārī tarah
apnī bhūlne kī aadat par ġhussa aatā hai
maiñ kuchh na kuchh
har baar bhuul jaatā huuñ
is baar
maiñ apne aap ko
tumhāre paas bhuul aayā huuñ
tum
mujhe lauTānā bhuul ga.ī ho
tumhein
ghussa aata hai
meri bhulne ki aadat par
main tumhaare pas
nazmon ki kitab bhul jata hun
tum
use lauTa deti ho
main apni ainak
tumhaare pas bhul jata hun
tum
use lauTa deti ho
main apna qalam tumhaare pas bhul jata hun
tum
use lauTa deti ho
mujhe bhi
tumhaari tarah
apni bhulne ki aadat par ghussa aata hai
main kuchh na kuchh
har bar bhul jata hun
is bar
main apne aap ko
tumhaare pas bhul aaya hun
tum
mujhe lauTana bhul gai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.