tumhein khojti hain jo aankhen
tumheñ khojtī haiñ jo āñkheñ...
tum un meñ kise dekhte ho?
koī gum-shuda muskurāhaT...
jo dil ke ḳhalāoñ ko bharne lagī hai
yā ik dhun ki jis par
ye Thahrī huī munjamid zindagī, raqs karne lagī hai!
tumhāre bhī man meñ parindoñ kī chahkār phir se utarne lagī hai?
koī bhūlī-bisrī sī sargoshī...
hoñToñ pe khilne lagī hai?
kaho! zindagī phir se milne lagī hai?
sunahrī vo āñkheñ jo lau de rahī haiñ
vo qindīl-e-jāñ haiñ?
ki bhedoñ-bharī raushnī kā nishāñ haiñ?
kabhī tāq-e-jāñ par sambhāle the tum ne ma.ānī jo gum ho ga.e the
kaho! tum ne phir bhī unheñ pā liyā hai?
ki phir ik na.ī nazm kī ḳhvāhishoñ ne tumheñ jā liyā hai?
ye kis ko patā hai?
na jaane tum āñkhoñ meñ un kii...
kise DhūñDte ho
tumhein khojti hain jo aankhen
tum un mein kise dekhte ho?
koi gum-shuda muskurahaT
jo dil ke KHalaon ko bharne lagi hai
ya ek dhun ki jis par
ye Thahri hui munjamid zindagi, raqs karne lagi hai!
tumhaare bhi man mein parindon ki chahkar phir se utarne lagi hai?
koi bhuli-bisri si sargoshi
honTon pe khilne lagi hai?
kaho! zindagi phir se milne lagi hai?
sunahri wo aankhen jo lau de rahi hain
wo qindil-e-jaan hain?
ki bhedon-bhari raushni ka nishan hain?
kabhi taq-e-jaan par sambhaale the tum ne maani jo gum ho gae the
kaho! tum ne phir bhi unhen pa liya hai?
ki phir ek nai nazm ki KHwahishon ne tumhein ja liya hai?
ye kis ko pata hai?
na jaane tum aankhon mein un ki
kise DhunDte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.