tumhein kis ne kaha tha
tumheñ kis ne kahā thā
dopahar ke garm sūraj kī taraf dekho
aur itnī der tak dekho
ki bīnā.ī pighal jaa.e
tumheñ kis ne kahā thā
āsmāñ se TūTtī andhī ulajhtī bijliyoñ se dostī kar lo
aur itnī dostī kar lo
ki ghar kā ghar hī jal jaa.e
tumheñ kis ne kahā thā
ek anjāne safar meñ
ajnabī rahrav ke hamrā duur tak jaao
aur itnī duur tak jaao
ki vo rasta badal jaa.e
tumhein kis ne kaha tha
dopahar ke garm suraj ki taraf dekho
aur itni der tak dekho
ki binai pighal jae
tumhein kis ne kaha tha
aasman se TuTti andhi ulajhti bijliyon se dosti kar lo
aur itni dosti kar lo
ki ghar ka ghar hi jal jae
tumhein kis ne kaha tha
ek anjaane safar mein
ajnabi rahraw ke hamra dur tak jao
aur itni dur tak jao
ki wo rasta badal jae
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 890)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.