tumhein kya?
maiñ apnī zindagī kī note-bōk se kitnī rāteñ kitne din kāTūñ
ki ik ik raat meñ kitnī qayāmat-ḳhez rāteñ mujh pe TuuTī haiñ
aur ik ik din meñ kitne din haiñ jin meñ hashr barpā
hotā rahtā hai
aur aisī kitnī sadiyāñ is zamīñ par mujh pe biitī haiñ
maiñ har lamhe meñ sau sau baar martā aur jiitā huuñ
hisāb-e-be-gunāhī har nafas par detā rahtā huuñ
magar ye merā apnā mas.ala hai ek dam zaatī
tumheñ kyā aur kisī ko kyā jo mere saath sotī haiñ
main apni zindagi ki note-book se kitni raaten kitne din kaTun
ki ek ek raat mein kitni qayamat-KHez raaten mujh pe TuTi hain
aur ek ek din mein kitne din hain jin mein hashr barpa
hota rahta hai
aur aisi kitni sadiyan is zamin par mujh pe biti hain
main har lamhe mein sau sau bar marta aur jita hun
hisab-e-be-gunahi har nafas par deta rahta hun
magar ye mera apna masala hai ek dam zati
tumhein kya aur kisi ko kya jo mere sath soti hain
- Book : shab-khoon(shumara-number-41) (Pg. 19)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.