tumhein pyar hai, to yaqin do,
tumheñ pyaar hai, to yaqīn do,
mujhe na kaho, tumheñ pyaar hai, mujhe dekhne kī na zid karo,
tumheñ fikr ho, mire haal kii,
koī guftugū ho malāl kii,
jo ḳhayāl ho, na kiyā karo,
na kahā karo mirī fikr hai
maiñ azīz-tar huuñ jahān se
yā īmān se, na kahā karo,
na likhā karo mujhe varaq par, kisī farsh par,
na udaas ho, na hī ḳhush raho
mujhe soch kar, yā kharoch kar, merī yaad ko na āvāz do,
mujhe ḳhat meñ likh ke ḳhudāoñ kā na do vāsta
tumheñ pyaar meñ na qarār hai, mujhe is zabāñ kā yaqīn nahīñ
kuchh aur ho, jo sunā na ho, jo kahā na ho jo likhā na ho
to yaqīn ho!
ruko aur thoḌā sā zabt lo, mujhe soch lene ko vaqt do,
chalo yuuñ karo mire vāste ki buland-o-bālā imāratoñ kā lo jā.eza
jo falak ko bosa lagā rahī hoñ imārateñ,
jo tumhāre pyaar se le rahī hoñ mushābahateñ
jo ho sab se ziyāda buland-o-bālā alag-thalag
use sar karo,
use chhat talak, haañ yahīñ ruko, ye vo hī hai chhat,
zarā saañs lene ko qayām lo, mirā naam lo,
to safar kī saarī thakan yahīñ pe utaar lo,
ab! mire tumhāre jo darmiyāñ meñ hai fāsla, vo zarā sā hai,
vo miTā sako, to ġhurūr Dhātī bulandiyoñ ko phalāñg do!
tumheñ pyaar hai to yaqīn do!!
tumhein pyar hai, to yaqin do,
mujhe na kaho, tumhein pyar hai, mujhe dekhne ki na zid karo,
tumhein fikr ho, mere haal ki,
koi guftugu ho malal ki,
jo KHayal ho, na kiya karo,
na kaha karo meri fikr hai
main aziz-tar hun jahan se
ya iman se, na kaha karo,
na likha karo mujhe waraq par, kisi farsh par,
na udas ho, na hi KHush raho
mujhe soch kar, ya kharoch kar, meri yaad ko na aawaz do,
mujhe KHat mein likh ke KHudaon ka na do wasta
tumhein pyar mein na qarar hai, mujhe is zaban ka yaqin nahin
kuchh aur ho, jo suna na ho, jo kaha na ho jo likha na ho
to yaqin ho!
ruko aur thoDa sa zabt lo, mujhe soch lene ko waqt do,
chalo yun karo mere waste ki buland-o-baala imaraton ka lo jaeza
jo falak ko bosa laga rahi hon imaraten,
jo tumhaare pyar se le rahi hon mushabahaten
jo ho sab se ziyaada buland-o-baala alag-thalag
use sar karo,
use chhat talak, han yahin ruko, ye wo hi hai chhat,
zara sans lene ko qayam lo, mera nam lo,
to safar ki sari thakan yahin pe utar lo,
ab! mere tumhaare jo darmiyan mein hai fasla, wo zara sa hai,
wo miTa sako, to ghurur Dhati bulandiyon ko phalang do!
tumhein pyar hai to yaqin do!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.