tu bhi roya tha malik?
dekhā tū ne kuchh mālik
art-gallery terī
aur ye us kī tasvīreñ
be-rahm rivājoñ kī
makḌiyoñ ke jāloñ meñ
nīm-jāñ manāzir kī
Dher par se kuuḌe ke
roTī chunte bachchoñ kī
shahr ke slum naamī
be-nasab Thikānoñ kī
kitnī be-vaq.at haiñ ye
jab talak Picasso sā
koī ik musavvir in
bhuuk khaa.e Dhāñchoñ ko
painting meñ nā jaḌ de
camera koī jab tak
in slum Thikānoñ ko
oscar meñ nā dhar de
aaj kī numā.ish meñ
nāmvar musavvir ke
fan pe
ūñchī bolī kā
vo jo ik tamāsha thā
tū ne dekhā thā mālik?
mere bhūke hāthoñ meñ
kuuḌe vaalī roTī kā
vo jo ek TukḌā thā
sūkhe phuul ke jaisā
vo jo merā chehra thā
aaj kī numā.ish meñ
kitnā qīmtī thā vo
aaj ik musavvir ne
kitnā mahñgā bechā thā
oscar ke mele meñ
merī gandī bastī ke
ġham-zada slum ne jo
sirf chand lamhoñ ko
iftiḳhār jiitā thā
tū ne dekhā thā mālik?
tū bhī thā vahāñ mālik?
tū bhī royā thā mālik?
dekha tu ne kuchh malik
art-gallery teri
aur ye us ki taswiren
be-rahm riwajon ki
makDiyon ke jalon mein
nim-jaan manazir ki
Dher par se kuDe ke
roTi chunte bachchon ki
shahr ke slum nami
be-nasab Thikanon ki
kitni be-waqat hain ye
jab talak Picasso sa
koi ek musawwir in
bhuk khae Dhanchon ko
painting mein na jaD de
camera koi jab tak
in slum Thikanon ko
oscar mein na dhar de
aaj ki numaish mein
namwar musawwir ke
fan pe
unchi boli ka
wo jo ek tamasha tha
tu ne dekha tha malik?
mere bhuke hathon mein
kuDe wali roTi ka
wo jo ek TukDa tha
sukhe phul ke jaisa
wo jo mera chehra tha
aaj ki numaish mein
kitna qimti tha wo
aaj ek musawwir ne
kitna mahnga becha tha
oscar ke mele mein
meri gandi basti ke
gham-zada slum ne jo
sirf chand lamhon ko
iftiKHar jita tha
tu ne dekha tha malik?
tu bhi tha wahan malik?
tu bhi roya tha malik?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.