tu kaun hai ri
tū kaun hai rī
tū kaun hai rī
tū kaun hai batā
kin ḳhvāboñ se tū bichhḌī hai
ḳhushbū kī tarah jo bikhrī hai
kis kāran mujh se milī hai tū
kis kāran mujh se bichhḌegī
kab bichhḌegī
kyoñ bichhḌegī
kis rut kī āvāra ye pavan
merī rāhoñ meñ raqs kare
mirī soch kā āñchal oḌh ke jo
sāñsoñ kī agan meñ chamak bhare
kis giit kañval kī jhiil hai tū
kis niile āñgan kī hai dhanak
kis giit ke chhandoñ kī hai dulhan
jo merī ġhazal meñ rang bhare
vo rang alag hai rangoñ se
vo rang ākāsh ke rangoñ meñ
mujh ko na milā maiñ khoj chukā
vo rang to terā apnā hai
jo titlī phuul kalī se judā
jo duniyā ke rangoñ se judā
shāyad tū merī in bātoñ par
mere in sabhī savāloñ par
ḳhāmosh rahe kuchh bhī na kahe
lekin ye tirī ḳhāmoshī bhī
jo kuchh na kahe aur sab kah de
phir bhī mujhe kahnā ye tum se
tū kaun hai rī tū kyā hai batā
kin ḳhvāboñ se tū bichhḌī hai
kis Daal kī komal kalī hai tū
ḳhushbū kī tarah jo bikhrī hai
kis kāran mujh se milī hai tū
tu kaun hai ri
tu kaun hai ri
tu kaun hai bata
kin KHwabon se tu bichhDi hai
KHushbu ki tarah jo bikhri hai
kis karan mujh se mili hai tu
kis karan mujh se bichhDegi
kab bichhDegi
kyon bichhDegi
kis rut ki aawara ye pawan
meri rahon mein raqs kare
meri soch ka aanchal oDh ke jo
sanson ki agan mein chamak bhare
kis git kanwal ki jhil hai tu
kis nile aangan ki hai dhanak
kis git ke chhandon ki hai dulhan
jo meri ghazal mein rang bhare
wo rang alag hai rangon se
wo rang aakash ke rangon mein
mujh ko na mila main khoj chuka
wo rang to tera apna hai
jo titli phul kali se juda
jo duniya ke rangon se juda
shayad tu meri in baaton par
mere in sabhi sawalon par
KHamosh rahe kuchh bhi na kahe
lekin ye teri KHamoshi bhi
jo kuchh na kahe aur sab kah de
phir bhi mujhe kahna ye tum se
tu kaun hai ri tu kya hai bata
kin KHwabon se tu bichhDi hai
kis Dal ki komal kali hai tu
KHushbu ki tarah jo bikhri hai
kis karan mujh se mili hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.