tu mera hai
tū merā hai
tere man meñ chhupe hue sab dukh mere haiñ
terī aañkh ke aañsū mere
tere laboñ pe nāchne vaalī ye ma.asūm hañsī bhī merī
tū merā hai
har vo jhoñkā
jis ke lams ko
apne jism pe tū ne bhī mahsūs kiyā hai
pahle mere hāthoñ ko
chhū kar guzrā thā
tere ghar ke darvāze par
dastak dene vaalā
har vo lamha jis meñ
tujh ko apnī tanhā.ī kā
shiddat se ehsās huā thā
pahle mere ghar aayā thā
tū merā hai
terā maazī bhī merā thā
aane vaalī har saa.at bhī merī hogī
tere tapte aariz kī dopahar hai merī
shaam kī tarah gahre gahre ye palkoñ saa.e haiñ mere
tere siyāh bāloñ kī shab se dhuup kī sūrat
vo sub.heñ jo kal jāgeñgī
merī hoñgī
tū merā hai
lekin tere sapnoñ meñ bhī aate hue ye Dar lagtā hai
mujh se kahīñ tū pūchh na baiThe
kyuuñ aa.e ho
merā tum se kyā naata hai
tu mera hai
tere man mein chhupe hue sab dukh mere hain
teri aankh ke aansu mere
tere labon pe nachne wali ye masum hansi bhi meri
tu mera hai
har wo jhonka
jis ke lams ko
apne jism pe tu ne bhi mahsus kiya hai
pahle mere hathon ko
chhu kar guzra tha
tere ghar ke darwaze par
dastak dene wala
har wo lamha jis mein
tujh ko apni tanhai ka
shiddat se ehsas hua tha
pahle mere ghar aaya tha
tu mera hai
tera mazi bhi mera tha
aane wali har saat bhi meri hogi
tere tapte aariz ki dopahar hai meri
sham ki tarah gahre gahre ye palkon sae hain mere
tere siyah baalon ki shab se dhup ki surat
wo subhen jo kal jagengi
meri hongi
tu mera hai
lekin tere sapnon mein bhi aate hue ye Dar lagta hai
mujh se kahin tu puchh na baiThe
kyun aae ho
mera tum se kya nata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.