tu mujhe itne pyar se mat dekh
tū mujhe itne pyaar se mat dekh
terī palkoñ ke narm saa.e meñ
dhuup bhī chāñdnī sī lagtī hai
aur mujhe kitnī duur jaanā hai
ret hai garm paañv ke chhāle
yuuñ dahakte haiñ jaise añgāre
pyaar kī ye nazar rahe na rahe
kaun dasht-e-vafā meñ jaltā hai
tere dil ko ḳhabar rahe na rahe
tū mujhe itne pyaar se mat dekh
tu mujhe itne pyar se mat dekh
teri palkon ke narm sae mein
dhup bhi chandni si lagti hai
aur mujhe kitni dur jaana hai
ret hai garm panw ke chhaale
yun dahakte hain jaise angare
pyar ki ye nazar rahe na rahe
kaun dasht-e-wafa mein jalta hai
tere dil ko KHabar rahe na rahe
tu mujhe itne pyar se mat dekh
- Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 276)
- Author : Ali Ahmad Fatmi
- Publication : Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.