tu ne dekha hai jis nazar se mujhe
us nazar bas usī nazar kī qasam
jo mujhe ye batā ke lauT ga.ī
kyoñ rag-e-jāñ meñ phuul khulte haiñ
phuul kyuuñ pairahan badalte haiñ
pairāhan kyuuñ hasīn hote haiñ
dil ko kab aql aane lagtī hai
aql kab sau qayās buntī hai
kab qayāsoñ meñ ghar sañvarte haiñ
chāñd ke har tavāf ke ma.ānī
ḳhushbuoñ ke hisār kā matlab
kyuuñ hai bād-e-nasīm kī gardish
ab maiñ samjhā bahār kā matlab
kā.enāt ab samajh meñ aa.ī hai
ab ḳhudā.ī ke raaz samjhe haiñ
zindagī ab nahīñ muamma-sifat
ab mashiyyat ke taar suljhe haiñ
merī har ek his ko terī talab
merī har saañs justujū terī
tū sarāpā har ek manzar meñ
aur ḳhushbū bhī kū-ba-kū terī
tū ne dekhā hai jis nazar se mujhe
us nazar bas usi nazar ki qasam
jo mujhe ye bata ke lauT gai
kyon rag-e-jaan mein phul khulte hain
phul kyun pairahan badalte hain
pairahan kyun hasin hote hain
dil ko kab aql aane lagti hai
aql kab sau qayas bunti hai
kab qayason mein ghar sanwarte hain
chand ke har tawaf ke maani
KHushbuon ke hisar ka matlab
kyun hai baad-e-nasim ki gardish
ab main samjha bahaar ka matlab
kaenat ab samajh mein aai hai
ab KHudai ke raaz samjhe hain
zindagi ab nahin muamma-sifat
ab mashiyyat ke tar suljhe hain
meri har ek his ko teri talab
meri har sans justuju teri
tu sarapa har ek manzar mein
aur KHushbu bhi ku-ba-ku teri
tu ne dekha hai jis nazar se mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.