kisī din jab thakan se
chuur ho kar ā.ūñgī
phir maiñ tire dar par
tire shāne pe sar rakh kar
maiñ sab rañj-o-alam apne
maiñ apnī saarī majbūrī
maiñ apnī saarī mahrūmī
phir ashkoñ ko bahāūñgī
vo merā dard dukh saarā
ragoñ meñ laavā ban kar
jo ubaltā hai
tū merā sā.īñ hai
aur shaah merā hai
maiñ lafzoñ kī bhikāran huuñ
ye kaasa ḳhālī hai merā
mujhe ḳhairāt lafzoñ kī mire sā.īñ
zarā denā
mire kaase ko bhar denā
kisi din jab thakan se
chur ho kar aaungi
phir main tere dar par
tere shane pe sar rakh kar
main sab ranj-o-alam apne
main apni sari majburi
main apni sari mahrumi
phir ashkon ko bahaungi
wo mera dard dukh sara
ragon mein lawa ban kar
jo ubalta hai
tu mera sain hai
aur shah mera hai
main lafzon ki bhikaran hun
ye kasa KHali hai mera
mujhe KHairaat lafzon ki mere sain
zara dena
mere kase ko bhar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.