tu tu main main
gājar bolī b muulī se
dekho mere Dhañg nirāle
laal gulābī rañg hai merā
mīThā ik ik añg hai merā
mujh se halva log banā.eñ
is meñ meva-jāt milā.eñ
ḳhuub maze le le kar khā.eñ
mujh se kitnā pyaar jatā.eñ
tū to apnī aap sazā hai
rañg burā be-kār mazā hai
tīkhī itnī muñh jal jaa.e
tujh ko kitne log na khaa.e
muulī bolī taish meñ aa kar
jaltī hai tū mujh se gājar
chāñdī jaisā rañg hai merā
ujlā ik ik añg hai merā
maiñ huuñ har pakvān kī sāthī
ya.anī dastar-ḳhvān kī sāthī
khā.eñ mujh ko log gharoñ ghar
kyā shabrātī kyā murlī-dhar
tū to hai har fitne kī jaḌ
duur karūñ maiñ peT kī gaḌbaḌ
maiñ ūñchī huuñ tū hai nīchī
ya.anī mere pair kī juutī
sun kar tū tū maiñ maiñ un kī
samjhāne ko laukī aa.ī
bolī laukī jhagḌā kaisā
insānoñ kā ye hai sheva
apnā to sansār alag hai
ya.anī kārobār alag hai
ik duuje se jal jal marnā
insānoñ kī bāteñ sab haiñ
hindū muslim sikh īsā.ī
nā-dānoñ kī zāteñ sab haiñ
lekin muulī gājar laukī
aapas meñ haiñ apne saare
sab achchhe haiñ sab kār-āmad
ik bagiyā ke sapne saare
chhoḌo jhagḌā aur laḌā.ī
aapas kī ye maar kaTā.ī
ab aapas meñ jañg na karnā
ik duuje ko tañg na karnā
gajar boli b muli se
dekho mere Dhang nirale
lal gulabi rang hai mera
miTha ek ek ang hai mera
mujh se halwa log banaen
is mein mewa-jat milaen
KHub maze le le kar khaen
mujh se kitna pyar jataen
tu to apni aap saza hai
rang bura be-kar maza hai
tikhi itni munh jal jae
tujh ko kitne log na khae
muli boli taish mein aa kar
jalti hai tu mujh se gajar
chandi jaisa rang hai mera
ujla ek ek ang hai mera
main hun har pakwan ki sathi
yani dastar-KHwan ki sathi
khaen mujh ko log gharon ghar
kya shabraati kya murli-dhar
tu to hai har fitne ki jaD
dur karun main peT ki gaDbaD
main unchi hun tu hai nichi
yani mere pair ki juti
sun kar tu tu main main un ki
samjhane ko lauki aai
boli lauki jhagDa kaisa
insanon ka ye hai shewa
apna to sansar alag hai
yani karobar alag hai
ek duje se jal jal marna
insanon ki baaten sab hain
hindu muslim sikh isai
na-danon ki zaten sab hain
lekin muli gajar lauki
aapas mein hain apne sare
sab achchhe hain sab kar-amad
ek bagiya ke sapne sare
chhoDo jhagDa aur laDai
aapas ki ye mar kaTai
ab aapas mein jang na karna
ek duje ko tang na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.