tufan mel
'atīq' aur 'aslam' 'sho.eb' aur 'salīm'
'ra.īs' aur 'āsif' 'nafīs' aur 'vasīm'
ye maktab se vāpas huā qāfila
to raste meñ sab ne yahī tai kiyā
chalo khelte ham chaleñ rail rail
'atīq' hoñge guard aur engine 'tufail'
ye sunte hī baġhloñ meñ baste liye
aur ik saf meñ sīdhe khaḌe ho ga.e
khaḌe aage pīchhe ye jab ho chuke
to dāman qamīsoñ ke pakḌe ga.e
qamīsoñ ke dāman pakaḌ jab chuke
second aur enter ke Dabbe bane
ġharaz ban chukī jab ye chhoTī sī rail
chhuTā nanhe bachchoñ kā tūfān mel
chhukā-chhuk chhukā-chhuk chhukā-chhuk chalā
baḌī zor se siiTī detā huā
muñDer aur khaa.ī pe chaḌhtā huā
bulandī se nīche utartā huā
kabhī zor meñ aa ke tez ho gayā
kabhī ruk ke engine ne paanī liyā
ġharaz dauḌtā gūñjtā ghūmtā
galī se galī ko badaltā huā
chalā jā rahā thā na thī kuchh ḳhabar
ki itne meñ ḳhatra hai aayā nazar
kahīñ sāmne se gadhā chīḳhtā
chalā aa rahā thā uchhaltā huā
kabhī agle paañv se hotā khaḌā
do-lattī kabhī zor se pheñktā
jo aate hue us ne dekhā ye mel
to ruḳhsat huī us kī saarī kulail
udhar vo vahāñ se phirā chīḳhtā
idhar mel bhī jaane kis samt gayā
'atiq' aur 'aslam' 'shoeb' aur 'salim'
'rais' aur 'asif' 'nafis' aur 'wasim'
ye maktab se wapas hua qafila
to raste mein sab ne yahi tai kiya
chalo khelte hum chalen rail rail
'atiq' honge guard aur engine 'tufail'
ye sunte hi baghlon mein baste liye
aur ek saf mein sidhe khaDe ho gae
khaDe aage pichhe ye jab ho chuke
to daman qamison ke pakDe gae
qamison ke daman pakaD jab chuke
second aur enter ke Dabbe bane
gharaz ban chuki jab ye chhoTi si rail
chhuTa nanhe bachchon ka tufan mel
chhuka-chhuk chhuka-chhuk chhuka-chhuk chala
baDi zor se siTi deta hua
munDer aur khai pe chaDhta hua
bulandi se niche utarta hua
kabhi zor mein aa ke tez ho gaya
kabhi ruk ke engine ne pani liya
gharaz dauDta gunjta ghumta
gali se gali ko badalta hua
chala ja raha tha na thi kuchh KHabar
ki itne mein KHatra hai aaya nazar
kahin samne se gadha chiKHta
chala aa raha tha uchhalta hua
kabhi agle panw se hota khaDa
do-latti kabhi zor se phenkta
jo aate hue us ne dekha ye mel
to ruKHsat hui us ki sari kulail
udhar wo wahan se phira chiKHta
idhar mel bhi jaane kis samt gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.