tufani kashti
dariyā chaḌhāv par hai
aur bojh naav par hai
pahnā-e-āb saarā
hai kuuch kā ishārā
hosh-āzmā nazārā
maujoñ ke muñh meñ kaf hai
ik shor har taraf hai
marg-āfrīñ hai dhārā
aur duur hai kinārā
koī nahīñ sahārā
teġh-āzmā haiñ lahreñ
teġheñ haiñ yā haiñ lahreñ
tauba havā kī tezī
mauj-e-fanā kī tezī
hai kis balā kī tezī
tadbīr-e-nāḳhudā kyā
chappū kā aasrā kyā
girdāb paḌ rahe haiñ
kashtī se laḌ rahe haiñ
taḳhte ukhaḌ rahe haiñ
naġhmoñ kā josh ḳhāmosh
sab nāv-nosh ḳhāmosh
hai ye barāt kis kī
nau-shāh aur barātī
lauTe haiñ le ke Dolī
māyūs haiñ nigāheñ
raqsāñ laboñ pe aaheñ
Dolī meñ huur paikar
kyā kāñptī hai tharthar
lekin hai muhr lab par
dūlhā ke sar pe sahrā
lekin udaas chehra
ishrat kī aarzū thī
ulfat kī justujū thī
ummīd rū-ba-rū thī
ye inqalāb kyā hai
āġhosh-e-marg vā hai
afsos yā-ilāhī
kyā aa ga.ī tabāhī
qismat kī kam nigāhī
dil sard ho rahe haiñ
ruḳh zard ho rahe haiñ
is mahshar-e-balā meñ
is lahja-e-fanā meñ
is sail-e-bād-pā meñ
sab ahl-e-yās gum haiñ
hosh-o-havās gum haiñ
kuchh mahv haiñ duā meñ
kuchh nāla-o-bukā meñ
kuchh shikva-e-ḳhudā meñ
baiThī hai ek beva
hai sabr jis kā sheva
dil haath se dabā.e
bachcha gale lagā.e
tīr-e-umīd khaa.e
ye baap kī nishānī
sarmāya-e-javānī
ik din javān hogā
ammāñ kā maan hogā
haq mehrbān hogā
ik naujavāñ bad-aḳhtar
bhāgā hai ghar se laḌ kar
chhoḌe the bāp-māñ bhī
biivī bhī aur makāñ bhī
ab chhoḌtā hai jaañ bhī
ai kaash maiñ na aatā
ai kaash lauT jaatā
ai tab-e-ḳhud-sar afsos
ai taish tujh par afsos
afsos yaksar afsos
ye dev-zād maujeñ
ye nau-nihād maujeñ
aayā phir ek relā
kashtī banī hai tinkā
bas ho chalā safāyā
tadbīr ro rahī hai
taqdīr so rahī hai
mallāh tair nikle
dariyā meñ pair nikle
afsos ġhair nikle
tūfān-e-ġham bahā hai
fariyād kī sadā hai
hai kaun jo sañbhāle
kashtī tire havāle
yārab tū hī bachā le
ai naav ke khavayyā
lag jaa.e paar nayyā
bandoñ kā tū ḳhudā hai
aur tū hī nāḳhudā hai
terā hī aasrā hai
dariya chaDhaw par hai
aur bojh naw par hai
pahna-e-ab sara
hai kuch ka ishaara
hosh-azma nazara
maujon ke munh mein kaf hai
ek shor har taraf hai
marg-afrin hai dhaara
aur dur hai kinara
koi nahin sahaara
tegh-azma hain lahren
teghen hain ya hain lahren
tauba hawa ki tezi
mauj-e-fana ki tezi
hai kis bala ki tezi
tadbir-e-naKHuda kya
chappu ka aasra kya
girdab paD rahe hain
kashti se laD rahe hain
taKHte ukhaD rahe hain
naghmon ka josh KHamosh
sab naw-nosh KHamosh
hai ye baraat kis ki
nau-shah aur baraati
lauTe hain le ke Doli
mayus hain nigahen
raqsan labon pe aahen
Doli mein hur paikar
kya kanpti hai tharthar
lekin hai muhr lab par
dulha ke sar pe sahra
lekin udas chehra
ishrat ki aarzu thi
ulfat ki justuju thi
ummid ru-ba-ru thi
ye inqalab kya hai
aaghosh-e-marg wa hai
afsos ya-ilahi
kya aa gai tabahi
qismat ki kam nigahi
dil sard ho rahe hain
ruKH zard ho rahe hain
is mahshar-e-bala mein
is lahja-e-fana mein
is sail-e-baad-pa mein
sab ahl-e-yas gum hain
hosh-o-hawas gum hain
kuchh mahw hain dua mein
kuchh nala-o-buka mein
kuchh shikwa-e-KHuda mein
baiThi hai ek bewa
hai sabr jis ka shewa
dil hath se dabae
bachcha gale lagae
tir-e-umid khae
ye bap ki nishani
sarmaya-e-jawani
ek din jawan hoga
amman ka man hoga
haq mehrban hoga
ek naujawan bad-aKHtar
bhaga hai ghar se laD kar
chhoDe the bap-man bhi
biwi bhi aur makan bhi
ab chhoDta hai jaan bhi
ai kash main na aata
ai kash lauT jata
ai tab-e-KHud-sar afsos
ai taish tujh par afsos
afsos yaksar afsos
ye dew-zad maujen
ye nau-nihad maujen
aaya phir ek rela
kashti bani hai tinka
bas ho chala safaya
tadbir ro rahi hai
taqdir so rahi hai
mallah tair nikle
dariya mein pair nikle
afsos ghair nikle
tufan-e-gham baha hai
fariyaad ki sada hai
hai kaun jo sanbhaale
kashti tere hawale
yarab tu hi bacha le
ai naw ke khawayya
lag jae par nayya
bandon ka tu KHuda hai
aur tu hi naKHuda hai
tera hi aasra hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 105)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.