TuT baTuT ke bhai
ek baḌā hai ik chhoTā hai
ik dublā hai ik moTā hai
do kahte haiñ us ko bhayyā
do kahte haiñ us ko bhaa.ī
TuuT baTūT kī shāmat aa.ī
TuuT baTūT ke chaar haiñ bhaa.ī
do hañste haiñ do rote haiñ
do jāgeñ to do sote haiñ
TuuT baTūT kare kyā bhaa.ī
TuuT baTūT kī shāmat aa.ī
TuuT baTūT ke chaar haiñ bhaa.ī
lambe lambe baal haiñ un ke
gore gore gaal haiñ un ke
āñkheñ un kī kaalī kaalī
sūrat un kī bholī-bhālī
koī kahe ye do bahneñ haiñ
koī kahe ye do haiñ bhaa.ī
TuuT baTūT kī shāmat aa.ī
TuuT baTūT ke chaar haiñ bhaa.ī
TuuT baTūT kī naanī bolī
ḳhāla aur mumānī bolī
bolī ammī phūphī taa.ī
ham sab kā hai ik ik bhaa.ī
TuuT baTūT kī shāmat aa.ī
TuuT baTūT ke chaar haiñ bhaa.ī
ik bhaa.ī langoTī pahne
dūsrā nikkar chhoTī pahne
tīsrā pahne lambā kurtā
chauthā pahne suiT aur tie
TuuT baTūT kī shāmat aa.ī
TuuT baTūT ke chaar haiñ bhaa.ī
ik khātā hai halva puurī
ik khātā hai ghī kachaurī
ik khātā hai garm pakauḌe
ik khātā hai barf-malā.ī
TuuT baTūT kī shāmat aa.ī
TuuT baTūT ke chaar haiñ bhaa.ī
baiThe hoñ to shor machā.eñ
uTh baiTheñ to nācheñ gaa.eñ
bhūke hoñ to chīḳheñ māreñ
peT bhare to kareñ laḌā.ī
TuuT baTūT kī shāmat aa.ī
TuuT baTūT ke chaar haiñ bhaa.ī
ek baDa hai ek chhoTa hai
ek dubla hai ek moTa hai
do kahte hain us ko bhayya
do kahte hain us ko bhai
TuT baTuT ki shamat aai
TuT baTuT ke chaar hain bhai
do hanste hain do rote hain
do jagen to do sote hain
TuT baTuT kare kya bhai
TuT baTuT ki shamat aai
TuT baTuT ke chaar hain bhai
lambe lambe baal hain un ke
gore gore gal hain un ke
aankhen un ki kali kali
surat un ki bholi-bhaali
koi kahe ye do bahnen hain
koi kahe ye do hain bhai
TuT baTuT ki shamat aai
TuT baTuT ke chaar hain bhai
TuT baTuT ki nani boli
KHala aur mumani boli
boli ammi phuphi tai
hum sab ka hai ek ek bhai
TuT baTuT ki shamat aai
TuT baTuT ke chaar hain bhai
ek bhai langoTi pahne
dusra nikkar chhoTi pahne
tisra pahne lamba kurta
chautha pahne suiT aur tie
TuT baTuT ki shamat aai
TuT baTuT ke chaar hain bhai
ek khata hai halwa puri
ek khata hai ghi kachauri
ek khata hai garm pakauDe
ek khata hai barf-malai
TuT baTuT ki shamat aai
TuT baTuT ke chaar hain bhai
baiThe hon to shor machaen
uTh baiThen to nachen gaen
bhuke hon to chiKHen maren
peT bhare to karen laDai
TuT baTuT ki shamat aai
TuT baTuT ke chaar hain bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.