TuTe hue pyale
maiñ ḳhudā ke hāthoñ se gir kar TuuTā huā pyāla huuñ
(jo apne bikhre hue TukḌoñ ko...
DhūñDhtā phirtā hai)
kabhī kabhī (bahut kabhī kabhī)
koī TukḌā mil kar apnī TuuTī huī jagah se joḌ banātā hai
to azalī taskīn aur abadī sarshārī kā ehsās miltā hai
jaise ki tum!
haañ payāre! jaise tum milte ho to kuchh aisā hī lagtā hai
jaise maiñ thoḌā mukammal ho gayā huuñ
jaise maiñ phir se apne chaak par aa gayā huuñ
takmīl kī is masāfat meñ
ek savāl buuñd buuñd mujh se ristā hai
itnī baḌī kā.enāt meñ
TuuTe hue pyāle ke TukḌe kahāñ kahāñ
bikhre paḌe haiñ
kyā ḳhabar, kab ham apne bāqī-māñda TukḌoñ ko pā sakeñ
jaane kab hameñ azalī taskīn mil sake
aur jaane kab ḳhudā kī pyaas bujhe
haañ pyāre!
ham ḳhudā ke hāthoñ se gir ke TuuTe hue
pyāle haiñ!!!
main KHuda ke hathon se gir kar TuTa hua pyala hun
(jo apne bikhre hue TukDon ko
DhunDhta phirta hai)
kabhi kabhi (bahut kabhi kabhi)
koi TukDa mil kar apni TuTi hui jagah se joD banata hai
to azali taskin aur abadi sarshaari ka ehsas milta hai
jaise ki tum!
han payare! jaise tum milte ho to kuchh aisa hi lagta hai
jaise main thoDa mukammal ho gaya hun
jaise main phir se apne chaak par aa gaya hun
takmil ki is masafat mein
ek sawal bund bund mujh se rista hai
itni baDi kaenat mein
TuTe hue pyale ke TukDe kahan kahan
bikhre paDe hain
kya KHabar, kab hum apne baqi-manda TukDon ko pa saken
jaane kab hamein azali taskin mil sake
aur jaane kab KHuda ki pyas bujhe
han pyare!
hum KHuda ke hathon se gir ke TuTe hue
pyale hain!!!
- Book : Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.