TuTi lazzat ki KHushbu
ġham kī kaalī chāñdnī
parbatoñ kī choTiyoñ par so ga.ī hai
nīche andhe ġhaar meñ
ḳhvāhishoñ kī dhuup shāyad kho ga.ī hai
ghaas kī bhīnī mahak ko sūñgh kar
aur shabnam chaaT kar
aarzū kā nīm-murda saañp zinda ho gayā hai
parbatoñ par
reñgtī pagDañDiyāñ
bal khā rahī haiñ
TūTtī lazzat kī ḳhushbū
jism meñ lahrā rahī hai
gham ki kali chandni
parbaton ki choTiyon par so gai hai
niche andhe ghaar mein
KHwahishon ki dhup shayad kho gai hai
ghas ki bhini mahak ko sungh kar
aur shabnam chaT kar
aarzu ka nim-murda sanp zinda ho gaya hai
parbaton par
rengti pagDanDiyan
bal kha rahi hain
TuTti lazzat ki KHushbu
jism mein lahra rahi hai
- Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.