TuTti hui qadron ka alamiya
maiñ
ik būḌhā bargad
jis kī jaTā.eñ
baḌhtī haiñ
baḌhtī hī rahtī haiñ
is se pahle ki zamīñ chhū leñ
jism kā sutūn ban jaa.eñ
gaañv ke ma.asūm bachche aate haiñ
jhūlā jhūlte haiñ
toḌ dete haiñ
main
ek buDha bargad
jis ki jaTaen
baDhti hain
baDhti hi rahti hain
is se pahle ki zamin chhu len
jism ka sutun ban jaen
ganw ke masum bachche aate hain
jhula jhulte hain
toD dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.